Meri Masi
Aap meri "Maa" nhi, par kabhi kabhi Maa se v Khas hain,
Aapk Sath Na hone ka har pal mujhe Ehsaas hai,
Aap Mamta ki murat hain,
Apki sbse pyari surat hai,
Aap mere liy "khas" hain,
Par Aap rehti nhi mere pas hain..
Jab mujhe Bachpan mi nind nhi aati thi to,
"Aap" hi to thi jo Lodi gaa,mujhe sulati thi,
Jab bade hone pe mujhe Bhukh lagti thi,or mai na btati thi,
Aap hi to thi jo bina btay v jaan jati Thi..
Abhi bhi yaad aati hai apk pas wo Teen sal Rehna,
Apka mujhe Beti se badhkar "Pyar" krna,
Itne sare ghar k kamo k bad bhi meri Sari Bakwas sunna,
Un Bakwaso pe,Mere dost ban k jor se Thahak lga k Hasna...
Mujhe pta hai mai Apk jaise ban
to, kbhi na paungi..
Par chahungi jarur thora sa bhi
banna...
Abhi v Ghanto phone pe, meri sari problem sunna,
Or Mere problems pe, mujh se v jayda apka chinta krna...
Agr kabhi Zindagi mujhe sataygi,
To maa k bad aap hi hongi jink
Aanchal mi,mai aungi..
Sabse Chhup k Aapk God mi,
sar rakh so jaungi..
Or bas ab yhi kehna chahungi,
Aap meri maa nhi, par kabhi kabhi
Maa se bhi khas hain,
Aapka sath na hone ka har pal mujhe Ehsaas hai....!!!!!
-
27 OCT 2020 AT 12:33
26 MAY 2021 AT 11:24
मां और मासी
कल बैठे-बैठे मेरे मन में एक ही ख्याल आया,
जन्म लेते लेते होठों पर बस दो ही का तो नाम आया।
एक मां तो दूजे को मासी का पहचान दिया,
तभी तो दोनों ने मुझे ढेर सारा प्यार दिया।-
8 JUL 2017 AT 0:21
Jab kitaboo ke panno mei teri mohabbat ke aks nazar aye
ek ek safhe pe tere ansoo ke naqsh nazar aye
Chaak e Dil, shikasta halat, be-bas zubaan
Qalma e mohabbat pe bus abr-e-malal nazar aye
Yun beete woh Shab o Roz aise ke
Shams-o-qamar bhi hujum mei tanha nazar aye
Rafta-rafta tagaf ke marhale mei simte pal
Ke Maasi ke seene mei qalb-e-khalla nazar aye
Zawaal-e-mohabbat ke kanoon mei mout bhi yun likhi hai
Ru'ba'ru reh ke bhi, alag jeena hai yeh asar nazar aye...-