Jabee'n pe uske har waqt kuch shikan sa rehta h,
Wo sakhs hi h jo meri har waqt fikar krta h...!-
"اپنے مقدر میں لکھی اذیت جھیل کے، اِس بات کا عِلم ہُوا ہمیں۔
جس نے خود درد سہا ہو وہ کسی کی تکلیف کا باعث نہیں بنتا"-
Ek tasveer si thehri hai nigaho main.
Zahan o dil pe ajeeb si halat tari hai.
Shagufta surat ,labo pe tabassum.
Rukhsar pe til,ajeebsi rawadari hai.
Jabeen pe bindia , aahu se chasm.
nigaho main ajeeb si bedari hai .
Dilshad khushboo , gulab chehra.
Haseen baatain , pari si pyari hai.
Malika - e - husn,malika -e -sarapa.
Phool si nazuk , jese rajkumari hai.
Titli si masoom , bulbul si chanchal.
Jitni tareef karun "shadab"adhuri hai .
-
Takleef Ye Nahi,
Tumse Ajej Koi Aur Hai
Dard Tab Hua Jab Ham,
Nazar Andaz Kiye Gaye.-
चुमता जबीं को तेरी बाहों में भर लेता।
गर ख़्वाब न टूटता प्यार और कर लेता।-
Jabeen pe bindia,aahu se chasm
nigaho main ajeeb si bedari hai .-
بس یہی دعا ہے رب سے کہ
میری وجہ سے کسی کو تکلیف نہ ہو۔
Bas yahi dua hai rab se ki
Meri wajah se kisi ko taklif na ho-
jab b Dekha tere husn ko, ek sukun sa mila hai
na puch mere humdum mujhse, kis gam se Nijat mila hai,
tasawwur me tha chahara tera, bekhudi si thi halat meri,
mere rashq e qamar ky batau tujhe, mujhe chand ka deedar mila hai
meri maashiyat ki tishnagi na dekh, meri tawaqqo ki tu fikr na kar
rafta rafta aatishe ishq me, teri qurbato ka afsoon mila hai,
mujhe baseerat mili hai apne takhayyul se tere marasim ki,
fir tere rukh par tabassum, or aariz par til mila hai
jabeen par jab bhi aaya hai tere zulfon ka hujum,
ye moajjaza-e- deedar mujhe aqeede se mila hai,
aur kya likhu mai teri parda nasheeni par ae sanam
ye jhuma bhi tumhra mujhe bareli k bazar se mila hai-
Ek ghazal Tere Dil-o-jigar me utar dunga,
Harf harf jodh ke Teri Basi mohabbat ujhaad dunga,
Dekhoooo,
uth ke na Jana shaan-e-mehfil meri,
Beth yaha Tujhe nafrat tareen Pyaar Dunga
naam tera lekar har misre par
Tere bagh-e-dard me bahaar dunga,
Laake Paseena Teri Jabeen Par
Tera bhukhar-e-guroor utaar dunga
Sunooooo,
Toot ke na Jana jaan-e-mehfil Meri,
Theher yaha tujhe taanein sare halal dunga.
Na Rounga Na Rone Dunga Oro Ko
Ke Har Sher Pe Labalab Zalal Dunga
Babuuuuu,
Ashk Liye Na Jana noor-e-mehfil Meri,
Sabar Rakh Tujhe Apna Romaal Dunga.
-