Mohammad Amir Sheikh Ā  (amir)
26 Followers Ā· 59 Following

#Engineer
#Professor
#Scientist
#shayr
nd will be a Dr.....in sha Allah
šŸ˜ŽšŸ˜ŽšŸ˜Ž
Joined 6 January 2019


#Engineer
#Professor
#Scientist
#shayr
nd will be a Dr.....in sha Allah
šŸ˜ŽšŸ˜ŽšŸ˜Ž
Joined 6 January 2019
2 AUG 2023 AT 21:00

Aur phir mere Allah ne mujhe "SABR" karna sikha diya.....

-


7 MAR 2023 AT 22:49

bhaang ke is paawan awsar par koi bhi gaadi pee kar holi nahi chalaayga....

ye soochna janhit me jaari

-


2 JAN 2023 AT 22:15

suno meri jaan
ye sab kitaabi baat hoti hai ki tum bichdoge to mai mar jaaunga
maarna to upar wale ke hatho me hai
tum jo bichad rhe ho to bas ye hoga
mai ro'unga bilkul nahi, par ye bhi sach hai mai hasunga bhi nahi
mai kisi se bhi tumhara zikr nahi karoonga lekin mai tumhre baare me sochna nhi band kar paauga
mai tumhe apni du'aaon me maangna chhod dunga par tumhri achi sehat achi taqdeer ke liye du'aaon me sab se pahle hath uthauga
mai abse tumko yaad karna bhi band kar doonga (in sha Allah) lekin ye bhi sach hai bhulna aasaan bhi nahi hoga
mai tumko abse "meri jaan" nahi kahuga
kabhi jo raaho me saamna hoga to khamoshi se apni nazar neeche kar ke tumse kinaara kar ke chala jaauga qki nazro se ahmiyat ka pata chal jata hai or apni ahmiyat mujhe pata chal gyi hai, apni nazar me mohabbat to kya nafrat bhi nhi dikhaauga,
tumhe pata hai.... aasaan nhi hai mere liye par tumhari aasani dekh kr himmat kar raha or in sha Allah himmat se cheeze haasil ho hi jaati hai

-


26 DEC 2022 AT 23:07

Guzaari hai raate jo tanhaaiyo me maine
tum par bhi wo guzre, to kya kroge ?

uthayi hai jo aziyate, furqato me maine
tum bhi kisi se bichde, to kya karoge?

hua hu bezaar tere intezaar me aksar
tum bhi kisi ke lye tarse, to kya karoge ?

iztiraab-e-diL ki kaifiyat se tum kya waqif
hue tum bhi pareshaan, to kya karoge?

bahot naaz hai tumko raqeeb ki wafa par
wo bhi tumhara aqs nikle, to kya kroge?

-


11 OCT 2022 AT 19:59

Mohabbat ho gyi thi tumse, khair jane do
rafaaqat ho gyi thi tumse, khair jane do
muddat hui ki tumne yad nahi kiya
tavaqquat ho gyi thi tumse, khair jane do
wo pal bhar k palo'n me zindagi haseen thi
khwaab jo bikhre mere, khair jane do
wafaaon ke tazkire me mai to mubtala hu
wafa jo tumne kiya, khair jaane do
"amir" kuch to khyal rakh apni wafa ka
wo ba-wafa nhi bewafa hai, khair jane do

-


9 SEP 2022 AT 17:05

Maine azaad kar diya hai, Har woh rishta,
Har woh insaan, Jo mujhse be-zaar hai.
Mujhe na ab kisi ki khuwaish hai, Na hi kisi ki talab
Na jane wale ko rokna hai,
Na aane wale ka istaqbal karna hai.
Jaane wala apne faisle ka zimmedar khud hai or aane wala apne faisle ka ikhteyaar khud rakhta hai... Jo hai uski izzat karo
Jo ja chuka use jaane do....

-


18 AUG 2022 AT 21:32

kya karu gila ke wafadar na mila
sath to mila magar pyar na mila
apne raaz ko paaya dunya ke samne
dost to mile, humraaz na mila

har ksi ne choda tanha mod par mujhe
manzil to mili, aitbar-e-yaar na mila
gam-e-ishq ka ilaj dhundta raha ta'umr
charagaar to mile, shifa na mila

unse milna bhi to do pal ka milna tha
bechain dil ko kabhi qaraar na mila
karta raha intezaar jinka roz-e-mehshar me
wo aaye bhi the to aise k deedar na mila

chahre to dekhe hai kai chand jaise
sab kuch to mila, wo til~e~bahar na mila

-


12 AUG 2022 AT 15:47

dil~shikan ka intezaar abhi baaki hai
mohabbat me tasawwur ke lamhaat abhi baki hai
shab~e~vasl ki rat me hijr ki bat krte ho
furqato ka daure gam ke lamhaat abhi baaki hai

socha tha ki bichad kar fana ho jauga tumse
abhi bhi is jism me jaan thodi baaki hai
tumhare taqabbur ki had to dekh li maine
meri anadari ki inteha abhi baki hai

khush ho tum apne safar~e~zindagi me
mili hai jo mujhe aziyate, hisab abhi baaki hai
tohmate to laakh lagi h daaman me mere
tohmato ka kya kahe, imaan abhi baaki hai

shikwa bhi humse or shikaayat bhi humse
kuch pal ki ulfat ka karobar bhi humse
bichad gye ho to door raho humse
fir q mohabbat me gunjaaish abhi baaki hai

-


9 AUG 2022 AT 21:56

kisi bhi cheez ka "be-had" hona bahot khatrnak hota hai.

chahe wo dosti ho ya chahe mohabbat, chahe dillagi ho ya kisi ki aadat.. qki pahle koi shaqs aata hai, aapse din raat baat karta hai, aapki har bat maanta hai fir jab apko us shaqs ki aadat hone lagti hai to dheere se usko apse kisi na kisi qism ki dikkat hone lagti hai, apki baate jo pahle use achi lagti thi, achanak se un baato se use dar lagne lagta hai...or idhar aap pareshn hone lagte hai k mere us pasandeeda shaqs ko akhir hua kya hai, khair kisi ko bhi apni aadat na banao qki jb wo aadat hi aapse doori ikhtiyaar karne lagegi to apko ranj o gam k siwa kch bhi haasil nhi hoga

-


7 AUG 2022 AT 15:31

kabhi sharab to kabhi gulaab hai aankhe
kabhi misaal kabhi sawal hai aankhe
kitna ufaan marti hai zindgi
us zindagi me toofaan hai aankhe
kabhi uthe to kabhi jhuke
uth kar jhuke to lajawab hai aanke
mere aankho me the kuch ansuljhe khayal
un khayalo ki taabeer hai aankhe
sharab-o-jaam to haraam hai yaha
par kar diya halal-e-aam aankhe
mai muntazir hu tere deed ka
us intezaar ki nawazish hai aankhe
kabhi adawat to kabhi mohabbat hai inme
jawab kuch bhi ho lawajab hai aankkhe

-


Fetching Mohammad Amir Sheikh Quotes