The snapshot
Bhule bisare panno se ye hisse laya hun
Aa zindagi, ki kuch bachpan ke kisse Laya hun.
Wo pital ka pyala,wo kardhani si mala
Tu jaagti thi loriyon sang, tabhi mai so paya hun.
Wo jugnu si ratein , wo taron ki batien
Wo chokhat ki masti, wo maalish ki Thapki
Tere godi ke jhule mai , Jaise aasma chu aaya hun.
Ab Na wo mitti ki gullak hai maa, or na kaathi ka ghoda,
Par Tere diye Ek rupaye ke sikke se, us kal mai
saari apni khwahishen kharid Laya hun.
Sun na maa , pehle panno par bhi tu hi mili mujhe
akhiri panne par bhi mai tujhe hi likh aaya hun.
-