Abhi b zinda hun mai,dekhne nahi aayega gala ghotne k baad bach kese gayi..
Kuch aisa tha,ki mar toh mai pehle se gayi thi teri bewafai tujhse chhipate chhipate,bas umeed tha ki ek din tu badal jayega..
Tu nahi badla,waqt zarur badal gaya..
Dard itna diya tha tune
Chehra aese badal diya tha tune
Ki dum ghut-te waqt bas teri zaliliyat yaad aayi,taqqat bahut tha andar,bas teri kabiliyat ki baat aayi..
Khamosh thi mai,aakhir meri iman hi mere saath aayi..
Mita diya aakhir tune mera hi namon nishan jab tere zindagi mai mujhhe shamil karne ki baat aayi..
Darr mat!! Kabhi aane nahi dungi tere zindagi mai tanhayi..
Shaamil karlungi tujhe apne saath jab kabhi murdon ki basti mai jagah khali hone ki baat aayi..
-