Bakrid ke bakro ko,
Ghadeer ke Ghadaaro ko kabi baksha nahi jata.
Ibrahim ki qurbani deke,
Mohammad ka Qalma paane waloo kabi apne waris ko pehchan lo,
Kyuki waha Ali hai Aur yaha bi Ali hai.-
Takmeel hoga mazhab-e-Dawar ghadeer mein
Utra hai rehmaton ka samandar ghadeer mein
Jo mujhko maula maane Ali ko bhi maan le
aylaan kar rahe hain payambar ghadeer mein
Sooraj ne bhi hata liye peechhe ko 2 qadam
itni balandiyon pa hai mimber ghadeer mein
ik munkir-e-Ali pa Ali ke Khuda ne hi
Bheja hai aasman se patthar ghadeer mein
Kuchh aise log bhi hain sava laakh logon mein
Chalte hain jinke qalb paa khanjar ghadeer mein
Chahein to kehkashaon ke jhoomar ko tod lein
Doshe nabi pa aaj hain haider ghadeer mein
Lagta hai jaane kitno ko ye arsh aathwa'n
Phaile hain Jibraeel ke shehpar ghadeer mein
Pehle bhi zul asheera mein Haider wasi bane
Maula bane hain fatahe khaiber ghadeer mein
Lakhon the phir bhi bhool gaye Mustafa ki baat
Isse to acha hote bahattar ghadeer mein
Sabse badi ye eid SaDaQaT hai isliye
Poora hua hai deene payamber ghadeer mein-
Asle dee'n ko lehza e guzishta nhi'n hone de'nge
Ke Ghadeer o Karbala, mehez qissa nhi'n hone de'nge
Barish e ashk se sar sabz rakhe'n ge isko
Waadi e dil ko sehra nhi'n hone de'nge
Zikre Murtaza kar karke jalaye'n ge usey
Bugz ke beemar ko achcha nhi'n hone de'nge-
Rab ne udu e Kaaba ko mismaar kiya tha
Phir wohi amal, usne digar baar kar diya
Maidan mei'n aaya jo Haider ع ka mukhalif
Munkir e Wilaa ko Rab ne sang saar kar diya-
Marhab ne kaha Khyber me Abu Turaab (k.a.w) se:
Darta Arab hai sara kya tu maanta nahi?
Marhab hai mera naam kya tu Jaanta nahi?
Bole Ali (k.a.w) tu tham zara Ab meri baat sun:
Maa ne diya hai Shaan se Hyder Laqab mujhe,
Bhai hun Mustafa ka kaho Sher-e-Khuda mujhe.-
Wilayat -E-Ali Ko Manne Walo Ko,
Aylan-E-Wilayat Bhut Bhut Mubarak Ho 💐❤️-
مبارک علی ہیں مقدس علی ہیں
محمد کی نسبت سے تو بس علی ہیں
عمر خان اُمّیٓ-