Zeest Bar Sare Karb o Bala Le Chali Mujhe
Ba Fazl e Khuda, Suye Khuda Le Chali Mujhe
(Read In Caption)-
🔹You Can Start By Hitting That Follow Button.
🔸Follow For More Quotes Like This.💫
🔹Tha... read more
Duao'n se u'n kaar e masiha karna
Apne alfaaz se beemar ko accha karna
Jo zehn girafta'n hai'n, rawaiyo'n ki khalish mei'n
Aese afraad ke gham ka madawa karna
Aese alfaaz jo dil jod diya karte hai'n
Huzoor e Rab bas ye ek wazifa karna-
جگ کی فکروں سے ماورا ہو کر
رب کی یادوں سے لو لگائی ہے
ہوا تنہا تو رب کو یاد کیا
میری محسن میری تنہائی ہے
जग की फिक्रों से मावरा होकर
रब की यादों से लौ लगाई है
हुआ तन्हा तो रब को याद किया
मेरी मोहसिन मेरी तन्हाई है-
Aesi tanhai ke faqat munis o hamdam ho Khuda
Raah us lamhe badi saaf nazar aati hai
(Read In Caption)-
Mehmil e fikr jo maqtal se guzari Sajjad ع
Munqalib hone lagi rooh hamari Sajjad ع
(Read In Caption)-
Zeest Ke Dasht Mei'n, Abr Ka Saaya Likha
Ya Ali ع Maine Kaha, Fatima Zehra ص Likha
Hua Jab Kabhi Khalq Ki Qismat Ka Sawaal
Rab Ne Ek Lafz Faqat, Marzi e Zehra ص Likha-
Ishq e Shah e Najaf rooh ko ataa karke
Banaya zarre ko ek shams, mojiza karke
Bait e Khuda mei'n hai'n pohche Ali ع Ali ع kehke
Dar e Ali ع pe hai'n thehre, Khuda Khuda karke-
Har daur mein zameer ke bedaar karne ko
Maqtal nhi'n hai, maktab hai Karbala
Khud Khuda ne iski zamanat lii hai
Jab tak wajood e haq hai tab tak hai Karbala-
ना दवा से, ना किसी की दुआ से मिलता है
सुकूँ जो दिल को अलम की हवा से मिलता है
अंधेरे छाने से, वो छोड कर नहीं जाते
वफ़ा का दर्स जिन्हें करबला से मिलता है
-
Muharram is not a month of gossiping, social gatherings and get together with family and friends. It is a month of Sorrow, Protest, Revolution, Repentance and above all Introspection.
Know your worth and value
DUA E ZEHRA, AZADARE HUSAIN ع ❤🩹🙏🏻-