मौत -
जनवरी का सर्द महीना
बात करती हवाओं के मुँह से
निकलता कोरा कुहासा
मेज़ के कोने पर रखी
गर्म चाय से भरी सिफाल
और उस से उठती
सुफेद गुनगुनी साँसें
कुर्सी की एक बाज़ू पर कुहनी टेके
सियाही भरी सलाई से
नज़्म बुनता हुआ
एक शायर
उस नज़्म में
साँस भरते भरते
चाय की साँसें रुक गयी
-
" मुसव्विर ..... "
वो मुसव्विर मेरा मुझमें और गहरा उतरता रहा,
रंग-ए-बे-लौस से शख़्सियत मेरी हर लम्हा भरता रहा..!!-
Chaand Ek Nazm -
Har roz koee kaatib aa kar
Ussey thoda thoda likhta hai
Raat ke kaale kaagaj par
Woh chaand nazm sa dikhta hai
चाँद एक नज़्म -
हर रोज कोई कातिब आ कर
उसे थोड़ा थोड़ा लिखता है
रात के काले कागज पर
वो चांद नज़्म सा दिखता है-
Mamma Aapke Liye -
Maa par kuch likhne baithoon toh
Ye zeest bhi padd jaaye kam
Na kaagaj na hi siyaahi
Par ho jaate hain bol khatam
Main kaise karoon ek maa ko byaan
Ussey kaise banaun vast -e- nazm
Maa choo le jo reesh mere
Mit jaaye woh saare zakhm
Ek misra likhna mushkil hai
Toh kaise likhoon meri maa pe nazm-
Gulzar Saab ke naam :-
Chand Misre :-
Har misra iss shayar ke
Kalm se nikla shahkaar hai
Zikr jahan urdu ka hai
Uss zikr mein GULZAR hain-
Kaun banaata hai
Nazm - 1
Kaun hai jo har raat asmaan
Tareeqi sa rang jaata hai
Ye raatein kaun banaata hai
Ye raatein kaun banaata hai
Kaun hai woh jo kalm jhatak kar
Asmaan par siyaah udaata hai
Ambar ke kaale canvas par
Ye taare kaun sajaata hai
Ye raatein kaun banaata hai
Ye raatein kaun banaata hai-
Kaun banaata hai
Nazm - 2
Kaun hai woh jo Neeli chaadar
Siyaah se dhak jaata hai
Ye raatein kaun banaata hai
Ye raatein kaun banaata hai
Kaun hai woh jo chaand chiil kar
Noor ki kashti banaata hai
Baith safinaa-e- chaand mein
Woh naav kaun chalata hai
Ye raatein kaun banaata hai
Ye raatein kaun banaata hai-
Gulzar Saab ke liye
Nazm - 3
Aalim ne kahin kuch likhha tha
Koee ghazal nahi koee nazm nahi
Khud ka hi aks banaaya tha
Woh muqadas se afkaar hain ye
Harfon ki nakhat se mehke
Ek mehke se gulzar hain ye-
Gulzar Saab ke liye
Nazm - 2
Haamoon mein kaliyan khilne lagi
Raatein subah se milne lagi
Jo dekha nahi woh dikh jaaye
Ek jannati deedar hain ye
Aaye jahan se nikhat - e - iram
Wahi meheke se GULZAR hain ye-
Kalm khamosh baithi hai
Nazm bhi
Kuch toh bole
Saphe hain be-jaan pade
Koee Qafas se
Lafz ko khole
-