Kalaam kuch is andaaz
se pesh karte hain,
Har chhoti badi baat
ko qalm band krte hain,,
Soch wo fikr ka meyaar
bahut sanjeeda hota h,,
Apne sawaalon ke
khud hi jawaab dete hain ,,
Mukhalis dil ke
maalik hain Aarif ji,,
Mehafil me aa jaayen to
sab ka khayaal karte hain,,
Takhallus to safar
rakh liye h lekin,,,
Tabiyat me gazab ka
tahraao rakhte hain,,
KHUDA un ki har jaaiz dua
ko qabool karta rahe,,
Hum sab KHUDA se ,,,
yahi arz karte hain,,,
-