Maa ki jama “maaye’n
Baap ki jama kya h?
Maine baap k saare mutradef soche
Waalid
Baap
Abbu
Lekin kisi ek bhi lafz ki jama nahi milsaki,bohot hairat se socha ki humne kabhi ghaur nahi kiya ki insan ki zindagi m maa k rutbe pr bohot se rishte jurh jaate hain
Lekin baap hamesha ek hi rehta h isliye zindagi main uski kami ki khalaa kabhi pur nahi hoti
-
Bicharhte waqt to aawaz beth jaati haina
Use lagta hai ki use pukaara nahi maine-
Mujhe! Ik muddat se nahi pukara usne
Aisa lagta hai mera naam nahi hai koi-
Jaane kon reh gaya ab bheegne se
Jaane kyon horahi reh reh ke baarish-
Raat thak gayeen aankho’n mai’n
Dil-e-muztarr haalaato’n mai’n
Koi tanha be sabr hoke rota raha
Koi pehlu mai’n simat ke sota raha
-
Jab ham kisi ke sath bohot zyadah free ho jaate hain
To samajhlo talluqaat tootne ke bohot qareeb ho jaate hain
Talluqaat bhi hadd se zyadah guzarjayen to gham milte hain
Sirf isiliye ab ham har ek shaks se thoda kam milte hain-
Mujhe nahi’n pata kitne sageerah aur kitne kabeerah hain
Magar mere paas gunaaho’n ka ek bada zakheerah hai
Usse badi hai teri bakshish , teri rehmat , teri maafi ILAAHI🤲🏽
Maaf karde! Tera kuch nahi jayega, mera kaam banjayega-
Din chaahen kitne hi aazaadi ke aajayen
Raate’n teri yaado’n ki qaid main rahengi
-
Apne andar ki gandagio ko
doosre ke andar dekhna bas
isi ko “shak” kehte hain-