Zohra  
90 Followers · 32 Following

read more
Joined 15 February 2024


read more
Joined 15 February 2024
3 MAY AT 23:42

Takleef koi apna de to kaise bhool jaau
Apno se umeed lgaana gunaah tha kya

Bhari mehfil mein uchaal k izzat kehte ho haya dikhaau
Mujhse nafrat tumko bepanaah thi kya

Tum chahte ho main qaid rahoo,
Tum jaan ke bhi anjaan bane rahe
Har baar khud ko samjhana
Itne halke jazbaat hai kya

Bohot khush thi main tumhaari kaamyaabi par
Par meri zindagi mazaak thi kya













-


2 MAY AT 3:12

Kis waqt ka intezaar mein ho
Kal kya hoga kisko pata
Jis trah de dete ho jaan apni
Sukoon mil jaayega sach me kya
Is duniya me koi mukkammal nahi hai
Zindagi har kisi ka imtihaan leti rahi hai
Ho sakta hai mehel na ho tumhare paas
Par tumhare paas khusiya dastak deti Rahi hai
Sab kuch ke bhaag daud me kuch hath nhi aaya
Umeedein paali bewajah aur phir khud ka Dil dukhaya

-


28 APR AT 23:22


Main zillat aur be~qirdaar ke ilzaam se darti hoo
Jaha khud ko shabit bhi nhi karna tha mujjhe waha bhi khud ko shabit karti hoo
Fakat zindagi mazaak banke reh gyi hai zohra
Wafaye yaad karke main khud pe taras kha ke aksar roo padti hoo
Haa main khud ko shabit karti kyunki main beqirdaar hone se darti hoo

Jyada kuch chahiye nahi tha zindagi se
Par sukoon ki minnat main khuda se beshumar karti hoo.
Waqt ko galat log par Jo barbaad kar diya hai maine
Ab usko sochke afsos har baar karti hoo
Na shukri nahi karti main,
Khuda par aitbaar karti hoo
Har baar, har jagah se haar kar bhi
Aane Wale mushkilo ke liye tyaar rahti hoo



-


25 APR AT 23:21

Kaise kahu bekasoor hoo main
Jab dil ke hatho mazboor hoo main
Log ginaate rahe hai galtiya meri
Khud ko muzrim Maan zindagi guzar gyi
Mauka Mila par kaante behissab the
Haa nishaan nahi the par zakhm hazaar the
Main mushkurati Rahi pata to tha hi
zindagi aasaan nhi
Par khud ko seeshe me dekh ke
phir aankhe kyu bhar aayi
Aisa kyu hua waisa kyu ab ye sawal main khudse karti hai
In sawalo ka bojh liye bewajah malal me rhti hoo



-


25 APR AT 10:48

It's okay acceptance is new beginning

-


24 APR AT 1:19

Kaise btaau main kya mehsoos karti hoo
Khud ko samjhaati hoo phir afsos karti hoo
Sochti hoo akhir galti kya thi meri
Phir ye sochkar aksar main ro padti hoo

-


22 APR AT 0:22


Har baar ki tarah ek baar aur aitbar karke bhaari
pada to kya karoongi
Maayoosh ho jaayegi zindagi aur phir main wahi aa khadi ho jaungi
Log wada to karte hai kabhi na rulaane ka
Wo har wo kaam karte hai
Jisse milti hai wajah door jaane ka
Mashoor kar rakha hai bewafa hai hum
Maut ko gale laga ke rishta nibhaya hai
Kaise bol Diya usne behaya ho tum
Maine har baar apne izzat ko bachaaya hai
Ab koi frq nahi padta Safar logo ke sochne ya na sochne ka
Zohra ab bas unko rakhti hai jisne sath nibhaya hai

-


21 APR AT 22:22

khud ki hi dushman khud ban gyi hoo
Jo main bnna nahi chahti thi,
Logo ki wo zid ban gyi hoo
Safar jaan de doo to kahi behtar hai
Insaano ke badalte chehre dekh ke main tang aa gyi hoo
Na uthaaya kare mere qirdaar par sawaal
Bohot mushkil se yha tak khud ko laayi hoo
Na bola karien aisi baate
Kayi raato se main soyii nhi hoo


-


21 APR AT 21:40

Rone se man halka hota hai shayad
Mera to aansuon ne bhi sath chor rakha hai Safar
Sone se sab bhool Jaya karte hai kehte hai
Mere to neend me aaye lsapno ne bhi mujjhe tod rakha hai
Itni zillat kaafi nahi thi kya mere liye aye zindagi
Ab to chor dein mujjhe maine to kabka hath jod rakha hai




-


19 APR AT 23:52

Din guzarte Gaye main bas chalti rahi
Saare yaado ka bojh liye ghutke marti rahi
Koi poochta hai kaise ho to kya btaau
Guzre hue kayi saalo ke wo kisse bas ek lamhe me kaise sunaau?
Aao baitho paas mere, bohot kuch hai jo btaana hai
Log sunna nhi chahte meri bate
kya tumko bhi wapas Jana hai?



-


Fetching Zohra Quotes