Zero Ā  (Zero)
1.6k Followers Ā· 475 Following

A person without any definition šŸ˜‰
Joined 31 May 2020


A person without any definition šŸ˜‰
Joined 31 May 2020
15 DEC 2022 AT 9:37

Kisi ke baad humein koi Nazar nahin aaya,
Mile bahot, magar dil se koi Pasand nahin aaya...

Ek aaya tha Shaqs mere marne par,
Dekhne aaya, magar zindagi rahte kabhi milne nahin aaya...

-


13 DEC 2022 AT 19:29

Kyun poochte ho mujhse, ke meri khataa kya hai,
Usne jaa kar bata diya, ke meri saza kya hai...

Tum poochte ho mujhse, ek shaqs ke liye kyun jala rahe ho khud ko,
Main poochta hun, ke batwaao yahaan bacha kya hai...

-


17 NOV 2022 AT 11:56

Mujhe wo apne Ishq mein barbaad karne ke liye aur bhi tareeke soch sakti thi,

Magar, Mohtarma ne Kajal lagaana zaroori samjha...

-


15 NOV 2022 AT 10:10

Kya bataayein tujhe Dil ke dard ke baare mein...

Khud ke liye maut chun na sake, aur Zindagi rahte kisi ke ho na sake...

-


9 NOV 2022 AT 19:50

Ab toh tera shehar bhi chor diya humne,
Bas itna bata do, ke ab kis-ke Dil mein ghar karte ho...

Karte toh tum hoge Aaj bhi kisi-na-kisi se Ishq,
Bas itna bata do, hamaare baad kis-se karte ho...

-


2 NOV 2022 AT 9:02

Jis shaqs ko ye dil chaahta hai mera,
Ussi shaqs ko zindagi bhar chaahna hai mujhe...

Tum poochte ho, ye kaisa Ishq hai tumhara,
Toh ye jaan lo,
Ek hin Shaqs ko kaise chaahte hain, ye duniya ko dikhana hai mujhe...

-


25 OCT 2022 AT 16:56

Meri nigahein na badli ek shaqs ke liye,
Usne apna poora ka poora kayenaat badal dala...

Jiske haath mein thi kabhi, mere naam ki mehndi,
Usne naam kaata, aur fir poora ka poora Insaan badal dala...

-


22 OCT 2022 AT 20:11

Naa tu mila, naa sukoo mila, mila jo bhi zakhm kuch yun mila...

Fir ek aur Diwali tere bagair, ek shaqs aayene mein bad-badaata kuch yun mila...

-


15 OCT 2022 AT 9:57

Kya hin bataayein, tumhari muhabbat ke baare mein ab,

Saari duniya ek taraf hai, aur tumhari Muhabbat ek taraf...

-


21 SEP 2022 AT 19:32

Chaahna bahot aasan tha tumhein, isliye ab bhi tumhein chaahte hain hum,
Kismat ka khel toh dekho, tumhare sath nahin, fir bhi tumhare saath hain hum...

Ek, Nazm likhi thi saalon pahle, jo tumhein sun-na tha,
Ab ussi nazm ke sahaare zinda hain, aur gairon ko sunaate hain hum...

-


Fetching Zero Quotes