26jan-15aug ko log Veer jawanon ki Gatha gate Hai,
Hindustani hone ka farz kyun nahi nibhate hai
Insan to ek dusre ke dushman bane baithe h,
Kyun un barashtacharon k samne sar jhukate hai
Jinhe padhna likhna ratti bhar nahi ata,
Wahi vote k chakkar m hindu musalman ko ladwate hai
Un piditaon ka kya jinhe abhi tak Insaaf nahi mila,
Bas candle march nikaal kar ankhen mund so jate hai
Ladai karna hi hai to jaati waad,dharm par kyun,
Berozgaar,balatkar par kyun nahi sawal uthate h
Godi media or raj netaon ka ban chuka h Hindustan,
Kuch karo ya na,lkin desh premiyon wala status zaroor lagate hai
Jai Hind-Jai Bharat
Jagna Zaroori hai....-
AAO AAKAR KAHIN TO MULAQAT KARO,
KUCH BATIEN, KUCH VAADE, MILKAR KUCH TO KARAMAAT KARO
MUJHE BHI TO AKAR KOI CHERO,
MERE SATH BHI TO KOI FASAAD KARO
AKSAR TANHAI M MAINE SABH GUZARA H,
KOI TO GOAD M SULAKAR, IDHAR UDHAR KI BAT KARO
MUJHE BHI HASNA, GUDGUDI KARNA PASAND H,
MERE SATH BHI AKAR KOI TO SHARARAT KARO
BAS YE SHAITAN-E-NAFSH WALE ZINDAGI SE TANG HO CHUKA HUN,
MAI NIKAH KA ELAAN KR CHUKA HUN, KOI TO AAO AKAR NIKAH NAM-E-PAR DASTAKHAT KARO-
Yadon ka kafila tezi se badhta chala gaya,
Jinse mohabbat tha,wo mujhse dur hota chala gaya
Gamon ne to raftar har taraf se pakda tha,
Phir bhi uski ek muskurahat par,mai katta chala gaya
Dil itna gamgeen tha kya bataun yaron,
Usko kisi or ke bahon m dekh,mai rota chala gaya
Socha ab sharif bankar kuch hasil to na hoga,
Badmash bankar idhar udhar munh marta chala gaya
Dil kaha manta,mutmayeen to na hua,
Kuch bhi galat hua,kasoorvar usko hi tahrata chala gaya
-Zeeshan Danyal
-
Aye khuda koi to hoga jo mere liye bana hoga,
Jo sirf mere achaiyon par hi faana hoga
Khoobsurti gayi tel lene,
Jo sirf mere liye hi jana hoga
Uski har sharton par khara utrunga,
Usko kisi cheez k liye,nahi mana hoga
Usse itni mohabbat karunga ki log misale denge,
Ki tumne to Zeeshan-e-mohabbat suna hoga
-Zeeshan Danyal
-
Aaj azaad hokar bhi ham abaad nahi hai,
Masumo ki hatiya,rape, phir bhi khush h kya ham barbaad nahi hai..
Jabtak khud par nahi beetegi log awaaz nahi uthayenge,
Lkin azaadi ka jhanda sawere uth kar phahraynege..
Whatsapp instagram m bhar denge tiranga ki samman,
Un bechariyon ka kya,kaha se laoge unka svabhiman..
Jago desh premiyon jago desh ki bahun betiyan khatre m hai,
Lkin hame kiya fikr hamare sath thodi na hua isliye ham sab apne kamre m hai....
-
Mai tumhe kisi or k sath hone se kaanp raha hun,
Aansu a rhe h lkin mai use dhanp raha hun
Mujhe maloom na tha tum itne khudgarz nikloge,
Mai tumhare is lahze ko bhanp raha hun
Kabhi fursat mile to wo yadien,wo batien,wo mulaqatien yad rakhna,
Mai apni kamayi hui zindagi tumhe saunp raha hun
Mai mar to us din hi gaya tha jab tumne munh phera tha,
Bas chand lamhon ki saanse h jise mai naap raha hun
-Zeeshan Danyal-
Ek din pahle eid manane ka maza kuch or h,
India walon ko jalane ka maza kuch or h
Wo sewaiyan,wo dahi bada,wo kabab,wo sheer khorma,
Kya bataun unse pahle khane ka maza kuch or h
Wo pahle chand dekhna eid ki khus khabri dena,
Hahaha Unlogon ko itmenan krne ka maza kuch or h
Ek din pahle eidi lena, eidi milne ka bad eidi bhejna,
Kiya bataun take and give dene ka maza kuch or h
Sabr rakhiye roye nahi aaplog kal eid ho jayega,
Ye bat bol kr aap logon ka chidane ka maza kuch or h
" Eid Mubarak ".
-Zeeshan Danyal-
Ishq ko sirhane rakh kar, Maine thoda aram kr liya,
Kya sanam tumne mohabbat ko sare aam kar diya
Gaflat ki neend thodi si kya lagi ,
Tumne mohabbat ko badnam kar diya
Ishq to hamara itna kamzarf na tha,
Tumne bhadi bazar m use neelam kar diya
Kitna bharosa or ehtamad tha tum par, sunata tha khisse apni mohabbat ka,
Tumne to yar mujhe nakam kar diya
Jis mohabat k nam se mashoor tha mai apne sahar m,
Apne hi sahar m mujhe benaam kr diya
-
Izzat-e-nafsh k aage mohabbat ko kho diya,
Phir se yaad uski aayi or jee bhar k ro diya
Bata tha mohabbat uska kayin hisson me,
Ye socha,phir ansu poch kr gahri neend m so gaya
Kisi ne pucha tum dobara mohabbat kyun nahi karte,
Ye sunte hi maine use jam kar dho diya
Dar lagta hai ye lafz sunkar ab mujhe,
Mohabbat tumse nafrat h,ye seene m maine bo diya
Izzat-e-nafsh k aage mohabbat ko kho diya,
Phir se yaad uski aayi or jee bhar k ro diya-
Mohabbat ki kashti baha kar chala aya,
Ishq ka panna jala kar chala aya
Betaab hua tha dil yun is qadar,
Seene m jo aag lagi thi wo bhuja kar chala aya
Uski ek jhalak jisse wabasta tha dil mera,
Sab kuch qabron m dafna kar chala aya
Ab wo kisi or ki ho gyi,uspar ikhteyar nahi mera,
Lekin use abaad kar,khud ko gamon m dooba kar chala aya
Wafa,saza,daga,mohabbat m milte hai janab,
Ye bat dil ko samjha kar,or usse dur ho jane ki khabar suna kar chala aya-