Uske bohot ehsaan hai mujhpe.
Pehle zindagi me aana,
Aur phir jaana.-
Aankhon me vo nami laa kar de,
Chehre par vo maasumiyat laa kar de.
Tu le ja jo kuch hai yahan,
Mujhe vo pehle jaisi hawayein laa kar de.-
Ek baar phir,
Jaane huyi hai sasti.
Poorab, pashchim,
Aur darmiyan me philisteen.-
Dar dar ki thokron ke baad,
Dekh to tu pohocha hai kahan.
Vo jisne tujhe banaya, sawara,
Aaj bhi tere intezaar me hai.-
Bohot khwaab dekhe Alam humne.
Kuch adhoore reh gaye,
Kuch poore reh gaye.-
Raftaar dheemi kar,
Mehsoos to ho zara.
Tu kab guzraa,
Aur kis haal me.
Aye waqt.-
Is baarish me,
Maine ek guzaarish ki hai.
Use laga farmayish ki hai,
Zamane ne kaha koi saazish ki hai.-
Raatein lambi lagne lagi hain mujhe.
Shayad,
Teri yaad me doobe pal,
Waqt lete hai guzarne me.-
Aaj kisi ne mujhse,
Khairiyat puchi meri.
Maine kaha to thik hoon,
Par mehsoos kuch na hua.-
Aaj sab khafa hai usse.
Jab urooj pe tha,
Sab yaar the uske.
Kuch kisi vajah se,
Kuch bevajah hi.
Aaj sab khafa hai usse.-