ZEBA Z KHAN Β  (Zeba Z KhanπŸ’)
49 Followers 0 Following

Lafz meri pahchan bane to behtar hai..chahre ka kya hai mere sath chala jayega
Joined 29 January 2019


Lafz meri pahchan bane to behtar hai..chahre ka kya hai mere sath chala jayega
Joined 29 January 2019
15 OCT 2023 AT 8:54

Kabhi kabhi ❀️ Chahta hai ki Koi ho Jo Koi guzre hue waqt ke baare me bataaye, jo Jaa chuke hain humare darmiyaan se unse juda koi to Apni baaton me Unse Rubaru karaaye.
Afsos yaadon ke darichon me bahot kuchh na raha humare paas,
Guzre waqt k sath bahot log dur ja chuke hai duniya se Iss dard se humein Aashna karaaye....
Missing you AmmiπŸ’”

-


8 JUN 2023 AT 7:33

Gaur karne ka Masla hai Ai Doston ki...
Jin Rishto ke Darmiyaan Aake Hum Unhe huq, Mohabbat aur Aitbaar ke naam pe khud ke mutabeek chala rahe Hain ye Duniya me Humare liye Khushi aur Fakhr ki baat hogi
Per Deen me Hum jawaabdeh honge aur Fikr ki baat hogi ki Humari wajah se jo undono k darmiyan jo Duri,Naittefaqi,Ranjishein aur Beaitbari Rahi unka Azaala hum kis tarah kar sakenge???
Ek baar gaur zarur farmaiyega janaab.

-


27 MAR 2023 AT 4:58

Afsos Waqt guzar jaane ke baad samajh aaya Doston...
Insan Mohabbat ke bina Zindagi guzaar leta hai per izzat aur ehsaas ke bina ghut ghut ke marna padta hai

-


5 JAN 2023 AT 13:53

Khamoshi agar waqt ka takaaza hai to manzur hai Ai Humsafar,
Kuchh khwahishein tb puri hoti hai jub ummidein bhi dam Tod jati hai....

-


4 JAN 2023 AT 12:11

Kisine kya khoob kaha hai Ai Yaaron....
Jo dekh aur sunke bhi Apki takleef na samajh sake to kya ehsaas dilaye...
Unke rubaru aapke lafzon ka istemaal bemaani ho jaata hai...

-


31 DEC 2022 AT 20:59

Sirf saal badla hai kaash ki halat bhi badal jaye,
Hum mile na mile per akhiri mulaqat yaad rah jaye...

-


28 DEC 2022 AT 10:57

Humein apni ghalti ka ehsaas bhi tab hota hai jub muaafi maangne ke liye humare pass Alfaaz to rahte hain per Afsos Woh Shakhs humari Dastaras se bahot Dur ja chuka hota hai 😒

-


7 DEC 2022 AT 13:32

Jo guzara tha humne apne waqt ko kaise,bada afsos hai ki waqt k sath hum bhul jaate hain...
Beshak Jo guzar gaya wo maazi tha humara,
Jo haal me tambeeh karte hai auro ko yun ki apna maazi bhul jate hain...
Apni yaadon ka daricha Jo kholu main Ai Zindagi,
Khud se kya kya sarzad hua to ki hui khudki sarkashi Hum bhul jate hai...

-


22 SEP 2022 AT 22:31

Afsos bahot der me malum hua Ai zindagi ki zaruri nahi....
Insan jaisa dikhta hai waisa hota nahi,
Jo sochta hai wo kahta nahi,
Kitni aasani se laga deta hai tohmat sach janta nahi,
Kis rishte me mukhlis hai kisse hai bezaar,ye pare rakh kar nazariya apna badalta nahi.
Wo khamosh hai unke samne jo gair lagte hai,apno ke samne to Dil ki baatein batana chhodta hi nahi
Aitbar karna mushkil hai aise mukhlis logon pe,
Jo dil me rakhta kuchh aur zubaan pe laata kuchh bhi nahi....
Waah re zindagi ka sitam...
Haqiqat bhi tab saamne ayi jub fayeda kuchh bhi nahi..πŸ’”

-


8 MAY 2022 AT 0:11

Samundar Aankhon mein rakhkar baithi soch rahi hun ki jub Maa nahi hoti to Apni Takleef kisko bataate hain???

-


Fetching ZEBA Z KHAN Quotes