Itni haseen adaa se muskurata hai woh
Uske har dard ka ehsaas mujhe hota hai
Iss qadar raabta hai mera uss ek shaqs se
Koi use choo bhi le toh mehsoos mujhe hota hai-
na koi tyohar mana pata hoon na koi khushi
sunne me toh bas buri khabar hi aa rahi hai
ghareeb hoon, hamare aspataal sarkaari hai
ghareeb hoon, saans lene me dikkat aa rahi hai
dar lagta hai kise chunu agle chunaav mai
pata nahi agle chunaav konsi beemaari aa rahi hai
haal toh dekho mere desh ka
jahan bhi dekhun bas maut nazar aa rahi hai-
Aankhon Ko Bhigakar Mai Kabhi Sota Nahi Tha
Yaadon Me Kisi Ki Mai Kabhi Rota Nahi Tha
Mohabbat Thi Mujhko Sirf Mujh Hi Se
Khayalon Me Kisi Ke Mai Kabhi Khota Nahi Tha
Aaj Daur Kuch Iss Qadar Hai
Aankhon Me Meri Bass Uska Basar Hai
Yaadon Me Uski Mujhko Rehta Nahi Sabar Hai
Zindagi Me Bass Tanhaiyan Humsafar Hai
-
Khila hua dekh kar hume, saaya hamara sab hi ne liya
Laakar bahaar zindagi me, woh mausam bhi badal gaya
Sookh gayi sabhi tehniyan iss pèd ki jab
Kaat kar hume, aise bhi istemaal kiya-
Badnaseebi ka sitam hum par kuch aisa hai
umr qaid huwi hame jahan ilzaam-e-qatl ki
qaatil wahan do chaar din guzaar gaye
Bebasi ka haal hamara kuch aisa hai
woh bas ek sui se jang jeet gaye
hum talwaar rakh ke bhi bahes haargaye-
Qavii rakhna apna tu dill
Bebasi ka zamana hai
Mitti se bana yeh dill
Lahad hi toh iska t'hikana hai
-
Milkar Aaye The Hum Use
Gile Shikhwon Ko Lekar
Zaalim Yeh Naaraazgi Uski
Raaton Me Sone Nahi Deti
Sonchte Hain Ke Bhooljayein Use
Par Kambaqt Yeh Khushboo Uski
Uske Khayal Tak Ko Khone Nahi Deti
-
chehra hi toh hai haseen jo nazar aata hai
dill kitna bhi bura kyun na ho chup jata hai
ho agar jise samajh dill ko parakhne ki
benoor bhi use khoobsurat nazar aata hai-
Mohabbat Toh Meri Lajawaab Thi Unse
Bewafai Toh Humko Doston Se Mili
Ummeed Jinse Khushiyan Baantne Ki Kar Rahe The Hum
Unhe Toh Hamare Gham Sunne Ki Bhi Fursat Na Mili
Woh Mere Bachpan Ke Gunaah The
Jinki Saza Mujhe Jawani Me Mili
-
Mai iss adaa ko bhi uski mohabbat samjhu
Ek pal hi sahi nafrat se magar woh dekhe mujhe
Mai iss adaa ko bhi uski mohabbat samjhu
Yaad karke hi sahi muzakkir se magar woh bhoole mujhe
-