Fir ek din khatam ho gai
Mujhme basi sari raunake-
Tumhare baad fir kuch nhi likha maine
Tumhare baad zahen kamzor ho gya
Hath kaanpne lge.....-
Mere chahne pe namaz e mohabbat ata ki ussne
Mai mgr uska qibla apni taraf na kr saka-
And the irony is that in reality there's nothing as such "ANTICLOCKWISE"
-
To sunn tu Yun kr ujaad hi de mujhe
K jo tere bgair basa kya khaak basa-
Sab bhool bhi jau to baki rhenge kuch naksh
Isliye socha hai dhundhunga m fir ussi naam ka ek shakhs-
Qasme bhoola waade bhoola
Bhoola duniya bhool gya sb rishte naate bhi
Ek tu hi yaad rha mujhko
Warna to m sari baate bhoola
Teri to yaad h mujhko parchai bhi
Warna to sbki shakle bhooli sbki aankhe bhoola
Tere to lehze bhi yaad h sare mujhko
Warna to m sbki ghazle sbki aawaze bhoola
Koi pukare tere naam se to mud kr dekhu
Warna apna aap to bhoola m bhoola apni saanse bhi-
Ek baar to mil mujhe Milne ki tarah
Milkr meri zaat mukammal krde-
Tere elawa na kisi ko socha na chaha
Yun k jaise mujhe ghol kr kisi ne pilaya ho
K zindagi ka mahez ek maqsad ho
Wo ye ki tujhe pana tujhe apna banana hai
Suna to hai duniya badi hai bahut
Magar mujhe to tere irdh girdh chakkar lgana h
Koi naam le surkh gulaab ka to
Zahen me tere hotho ki tasweer ubharti hai
Koi zikr kre samandaro ka
To Teri aankhein dikhne lgti hai
Koi Ghazal kahe to tujhe likhta hu
Koi ishq kahe to tujhe socha krta hu
Raat ki jo baat ho kahi
To teri zulfe hawa me lehrane lagti h
Koi chaand kahe to teri surat nazar aane lgti h
Koi dua kahe to tera sath mangta hu
Kahi Humsafar jo sunu to tera hath thamta hu
Koi kahe jo zindagi tujhe yaad krta hu
Fir jo kahi kisi mehfil me koi maut kahe
To uss Thaame hue hath ko dheere dheere chhodta hu
Dhadkan maddham hoti h aur m saans ki aakhri dor todta hu
-
Koi ab sulah karaye meri zindagi se
K ab mai thak gya hu uljhano se-