"Tu dar dar bhatkey darbadar
Har gali har nagar
Talaash mai rahay tu umar bhar
Miley na tujhe koi humsafar
Ho naseeb tujhe shandaar mahal
Naseeb na ho tujhe apna ghar
Dard miley aur dard se tum cheekh pado
Tujhe na dawa miley na hi miley koi charagar
Tu mout ki dua karay dua tumhari radd ho
Bhalay hi teri mout ho par naseeb na ho tujhe qabar
Zabaan meri yai kat jayai qalam meri toot jayai
Salamat rahay tu mere mehboob tujhe lag jayai meri umar"-
آرام میں جسم ہے، پر روح بےکرار ہے
سکون میں ہے ذہن، پر دل پریشان ہے
یہ کیسی کیفیت ہے، یہ کیسے حالات ہے
جینا دشوار ہے، اور خدکشی حرام ہے
Araam mai jism hai, Par rooh bekaraar hai
Sukoon mai hai zehan, Par dil pareshaan hai
Yai kesi kaifiyat hai, Yai kese halat hai
Jeena dushwaar hai, Aur khudkashi haraam hai-
I will work hard on myself in order to be emtionally more strong
-
"Aana toh duniya bhar ki firsat le ke aana
Do boondh pani se pyasay ki kya pyaas bhuje gi"-
"Chahat mai uski barbaad ho k
Kyu shadaab usey tu dekhna chahta hai
Jo shakhis na raha yaad karne k kabil
kyu har shaam usi se faryaad karta hai"-
"Tum pay mar k tumko jeene laga hu
Zindagi se haaye, bewafayi karne laga hu"-
"Hai khuda har pal kisi shakhis k kareeb
Kisi shakhis ko hota na aek b sajda naseeb"-
"چل وہاں جہاں صبح کی نہ شام ہو
نہ مجرم کویی نہ کسی پے جرم کا الزام ہو
روز ازل سے ہوا بجھاتی آرہی ہے ہر شمح
چل کہی اے دل، جہاں کردار چراغ کا احترام ہو"
"Chal waha jaha subah ki na shaam ho
Nah mujrim koi na kisi pe jurm ka ilzaam ho
Rouz'e azal sai hawa bhujati arhi hai har shamah
Chal kahi ae dil, jaha kirdaar'e charaag ka ehtiraam ho"
-
"Yaksaan hai aaj b jaha bhar ka lehja
Bus aek khaak-e-pekar badal sa gaya hai
SADDA SABZ POUDA wajoud tha jiska,
Aaj dekho bahaar mai b murjaya huwa hai"-
"Dil cheekh uth'ta hai paseena jabeen se behta hai
Jab b zikr mohabbat ka ya mehboob ka hota hai
Mano phoolo sai uda ho rang aftaab ka noor bi bhuja ho
Yai aks hai meri duniya ka jo unke zikar se aesa hota hai
Toh kya huwa safr'e judayi pe niklai hum akelay hai
Yai kon hai jo kehta hai yaar juda na hota hai
Hai hijr mai kati kul zindagi ikhtidaam mai b intizaar haii
Wo yaar mera milne k liye q na bekaraar hota hai
Jo roya mai, tadpa mai, soya na mai umar bhar
Wo neend mai khoya shakhis q na bedaar hota hai
Bohat huwa, bohat kar liye sawal tum ne, ae zahid
Mout se pehle admi kaha tas se mas hota hai
Hai har sawal ka jawab uljha khud hi sawal mai
Jo na rakhey bedaar, bekaraar, wo pyaar kaha hota hai"
-