"Live like you're acting.
Do Acting like you're living."-
I don't know what will happen tomorrow. But one thing which i am confident about is that If I am alive tomorrow what i am gonna to do.
-
Wo mere Khwabo wali ladki hai,,
Mujhe Khayalo me aa mili hai,,
Thodi Masoom thodi Mizazi bhi hai,
Kabhi naraz to kabhi Raazi bhi hai,,
Kabhi ladti Jhagadti hai,
Fir khud hi man jati hai,,
Wo meri khwabo wali ladki hai,,
Mujhe khayalo me aa mili hai,,
Wo Kabse mere pas Akar khadi thi,
Lafzo se Khamosh Nigaho se kuch kah rahi thi,,
Labo'n ne to Kuch kaha hi nahi tha,
Waqt us pal Jaise Tham sa gaya tha,,
Yun Har Roz Wo Mujhe Tanhai me aa mili hai,,
Wo mere khwabo wali ladki hai,,
Mujhe Khyalo me aa mili hai,,
Ye khwabo Khyalo ki bate hai,
Samjhdar log kaha samjh pate hai,,
Ye Hum deewano ko kabhi Ashiq to kabhi pagal kahege,
Hum fir bhi apne Mehboob pe Nazme likhte rhege,,
Abhi bhale Khwab hi sahi,
Ek Roz kahoga wo haqiqat me aa mili hai,
Wo mere khwabo wali ladki hai,
Mujhe Khayalo me aa mili hai,,-
Zulfe'n bikhar rahi hai, Lab muskura rahe hai,,
Meri nazre Tujhe yuhi dekh rahi hai,
Aap hmse nazre chura rahe hai,,
Ek khwab sa lag raha hai tumara sath,
Aur yakeen hum khud ko dila rahe hai,,
Kisi Khubsurat ghazal jaise lafz tumare,
Be'Khabar jinhe hum ankho se sun rahe hai,, Khubsurat tume me kya kya likh du,
Yahi soch kar ye Ghazal likh rahe hai,,-
Kaha tha Mat kar Talash -e- Ishq fir Nakaam hoga,,
Magar Ye pagal dil dimag ki sunta kaha hai,,-
Kuch waqt se unhe kuch kahna tha, shayad ?
Sath mere unhe nahi rehna tha, Shayad ?
Fir mas'le hoge bate hogi majburiya bhi batayee Jaegi,
Fir kahege Kismat ka sath nhi tha,
Shayad ?-
Kitna yaad krte hai.....
Tanhai me khud se teri bate,
Har shab tujhe dhunda krte hai,,
Kitna yaad krte hai......
Ye waqt nahi hai milne ka,
Ek waqt ayega sath chalne ka,,
Jante hai, Per roz teri Khwaish krte hai,,
Kitna yaad krte hai ....
Har yaad ki ek Hadd,
Wo Hadd hum Roz Paar krte hai,,
Kitna Yaad krte hai ?
Mauka mile to samandar ki gehrayee ko janna,
Himmat ho to asman me taaro ko ginna,
Nahi kar paoge jo kuch bi hum krte hai,,
Kitna yaad krte hai....
Band karu ankho to tumhara chehra,
Khuli ankho pe teri tasveer se bate krte hai,,
Kitna yaad krte hai......
Lafz bhi nahi itne jitna yaad krte hai,,
Kitna yaad krte hai....-
Tu naraz ho 'gar teri bato me dikhta hai,,
Tu kahe ya na kahe teri Ankho me dikhta hai,,
Mai kya hu kya nahi tere liye kya khabar,
Kuch to hai fir bhi jo teri Ankho me dikhta hai,,
Tu sach kahe ya jhoot bhi ya na kahe tu kuch bhi,
Tu na bta per tera har lafz teri Ankho me dikhta hai,,
Koi aur hai ye tu kahe tab bhi kaise man lu kyuki,,
Tujhe Fikr hai meri ye teri Ankho me dikhata hai,,-
Aisa kya hua usko Zainul abki baar,,
Bas khamosh rehne wala zor se muskuraya ek bar,,
Wo musafir jo guzr'a ek roz teri raah se,
Fir dil kahi aur na laga saka is Baar,,-