Zaheera Banu   (Zaheera Khalid)
8 Followers ¡ 4 Following

Alhamdulillah
Insta-zaheera_khalid
Joined 11 June 2020


Alhamdulillah
Insta-zaheera_khalid
Joined 11 June 2020
17 MAY 2024 AT 18:22

Mere andhere raat ka,
Chand ho tum...
Thandi hawa mein,
baarish ki boond ka ehsas ho tum...
Subha ki roshni mein,
madur geet ka alap ho tum...
Har dua ki,
Pehli ardas ho tum..
Meri kamiyabi ka asal haqdar ho tum,
mere liye, meri puri kAYANAT ho tum...

-


6 JAN 2022 AT 13:47

Aakir tumhe paane ki chahat mein
Maine khud ko khoya hai
Kya yehi sacchi mohabbat hai
Jiske liye maine itna roya hai

-


19 DEC 2021 AT 18:55

Aksar is duniya me yaade reh jaate hai
Log na sahi unke waade reh jaate hai
Unse jude har naathe reh jaate hai
Phir bhi koi kisi se baat nahi karta
Ye soch kar ki ,koi kisi ko yaad nahi karta
Badakar dekho tum apna pehla kadam
Kya pata wo tumhare intezaar me har roz hai marta

-


2 SEP 2021 AT 18:29

Is dard bhari duniya me
Koi tumhe yaad nahi karega
Agar chale jaoge tum
tho koi tumhari baat nahi karega
Kyun jeete ho logon ko khush karne ke khatir
Kyunki bhari mehfil me koi
tumhara intezaar tak nahi krega

-


25 APR 2021 AT 9:10

Kisi ko apni zindagi banakar
Zindagi se nikal dena asaan nahi hota

Kisi ko sabse zyada chahkar
Us chahat ko mita dena asaan nahi hota

Yunhi pyaar me aashique badnaam nhi hote
Yunhi kisi ki chahat me gumnaam nhi hote

-


24 APR 2021 AT 18:42

Aksar dil me dard rakhkar muskurana padta hai,
Apne ansuo ko jhuta batana padta hai,
Zindagi me apno ko kush karne ke khatir,
khud ki khushi ko bulana padta hai...

-


13 APR 2021 AT 8:10

Choti si zindagi me,
khwahishen hazaar hai...
Jeene ka tho pata nhi,
par bepanah pyaar hai...

-


7 APR 2021 AT 17:09

Tumse baate karne me apnapan sa lagta hai
Kya tum sath neebahoge ye sochke dil dartha hai
Phir bhi baate kar leti hu me tmse
Kyun ki tumhe kone se dil dar tha hai

Tumhara mujhe datkar chup karana
Mere chup hote hi Khud gabara jana
Ye pyaar hai ki koi shazish
Ye soch kar dil dar tha hai

Sach tho ye hai ki tumse pyaar karne me ab apnapan nhi dar sa lagta hai

-


17 DEC 2020 AT 16:26

Aksar wo tumhari har baat pe naraaz hojata hai ...
Agar tum kuch Na kaho,
Tho wo pareshaan hojata hai...
Kabhi tumhare khatir duniya se lad jata hai...
Aur jo tumhari har pareshaani ke waqt, tumhare paas khada paaya jata hai,
Wo aur koi nhi BEST FRIEND kehlata hai...

-


2 OCT 2020 AT 10:31

Bachpan tha sab se pyara
Na kuch khone ka darr tha
Bachpan me khoob pucha
Na Jaane kab bade honge hum
Socha pad likh kar
Khoob tarakki karenge hum
Kya faida,is padhai likhai ka
Jo betiyon ko insaaf na dilaye
Agar nikle vo raat ko ghar se bahar
Tho kya kabhi vo ghar laut kar wapas na aaye
Agar pehne ladki chota kapda
Tho log uske charitra par ungli utaye
Akhir sahab wo ho skirt ya parda
Kapda hi wo kehlaye
Ab kya faida tumhari is padhai ka
Jo ab kapde me bhi bhed bhav khaye
Betiyon ko bachao
Wo bhi jeena chahti hai
Zindagi ki har khushi paana chahti hai
Saza kyun na mile un darindo ko
Jisne na jane kitne betiyon ke sath galat kiya
Ab saza dene ke baari aayi
Tho ab kuch logon ne usme bhi tark kiya
Ab batao kya faida tumhari is padai ka
Jisne darindo aur insano me bhi na fark kiya
Bharat ko apni maa kehkar
Betiyon ke sath hi galt kiya
Ab bina kuch soche, bas chada tho un sabhi ko suli per
Jisne betiyon ke sath galt kiya

-


Fetching Zaheera Banu Quotes