Ek lamhe mein aaram hai
Zindagi se hi shikayat karoge
Zindagani thodi kam hai
Kabhi sochoge maut hi marham hai
Rooh hai toh jism hai
Warna aadmi bhi khilona hai
Kabhi dusron ki bhi suna karo
Kahin zamaana yeh na kahe
Murda insaan ko sataya na karo
Khud ko kaatil-e-zabaan pehchano
Duwaein leke bhi kahin zamaane
Ki badnaami na bano
-
12 August🎈🎉🎁
Sojourner
Visionary for optimism
Life-long learnin... read more
Zakhmi ko marham chahiye
Dard ko malham chahiye
Ae nazneen hum bhi rahe awara
Par parindon ko bhi basera chahiye
Aankhon ko khwaab chahiye
Khwaabon ko chahat chahiye
Dahleez ko dastak ki khwahishein
Mareez ko dawa ki hai zaroorat
Waade teri jhooti bhi sach laagi
Tu anjaan hoke bhi ulfat ho gayi
Maana tu mohabbat ko dosti samajh baithi
Lekin tu duur hoke bhi
Maine teri khairiyat hi chaahi-
Behaya zamana hai janab
Muflisi ka daur hai
Mohabbat ke naam se
Jism pe farmate gaur hai
Koi ulajhta baaton mein
Koi ulajhta chehro pe
Muskurahatein labzon pe
Manfi tarbiyat zehen mein
Munafiq zamane ke zakham gehre hai
Tumhein bhi kya kahun ae nazneen
Qatal tumhein apne naqaab se karne heh
Behka jo main tumhare laqab se hua-
Bolta rahi aankhein meri
Inko jo padhti tu agar
Tu hoti naa yun bekhabar
Shayad hoti tu meri humsafar
Ruk jaa jo ek baar tu kehti agar
Tanha naa hota tera-mera yeh safar-
Bolti rahi aankein meri
Inko jo padhti tu agar
Hoti nahi yu bekhabar
Shayad hoti humsafar
Rukk jaa ek baar jo kehti tu agar
Tanha na hota filhaal apna yeh safar-
Jitna bhi samjhao khud ko dil toh dukha hi hai
Gham aaye toh aansu bhi naa nikle
Mere halaat toh aise hai ki pyaasa toh hu par dariya sukha hai....-
You will never know the power of yourself until someone hurts you badly
-