Ghr ki jimmedaari ke bojh taale taba na hota
Kash ki mai ladki hota
Pr phir shyd mera koi ghr na hota
Jaha 24/25 saal khela hota vo chhod ek unjaan ghr jana hota
Kya ladki hona aasaan hota?
Heart break, fake friendship, failure in sb se guzri takleefo ko ashqo mai baha diya hota
Kash ki mai ladki hota
Pr phir shyd meri takleefo ko ashuo ke bojh se naapa hota
Kya ladki hona tb bhi aasaan hota?
Apni khwaishon ko maar family ko dekh jeena na hota
Kash ki mai ladki hota
Pr shyd tb meri khwahishon ko pero mai payal bandh, hatho mai mehndi laga, hawan kund mai swaha kiya hota
Kya ladki hona tb bhi aasaan hota?
Taane sun samaaj ke vo 4 logo ke, nashe se nata joda na hota
Kash mai ladki hota
Pr shyd tb mujhe unki baaton ko sun andar hi andar til til ghutna hota
Kya ladki hona tb bhi aasaan hota?
Apni feelings ko hr kisi se chipana na hota
Kash mai ladki hota
Pr shyd rok tok tk simat kr reh jaati meri zindgi, khud ke liye ek pal na hota
Kya ladki hona tb bhi utna aasaan hota?
-