Z. Fatima   (Meri Qalam Z. Fatima)
5 Followers · 5 Following

Joined 30 December 2021


Joined 30 December 2021
2 JAN AT 0:40

Phir se zindagi se pyaar karne ka khayaal aaya hai....
Sikhane ko nayi shuruaat naya saal aaya hai!


-


31 DEC 2024 AT 23:29

Bahut ghamnaak hoke tumhen hum khudse juda karte hain...
Dil pe patthar rakh ke tumhen hum al-wida kahte hain..!


(Al-wida 2024)

-


22 OCT 2024 AT 1:29


22-10-2024

Haathon mein haath ka ek aur saal poora hua!!!
Aaj humare saath ka ek aur saal poora hua!!!


-


22 OCT 2024 AT 1:10

Tum kya kuch ho?
Mera to sab kuch ho!!!
Tumhein apna mana
Ab chahe jo kuch ho!!!

-


6 OCT 2024 AT 13:11

Tum chahat ho tum hi muhabbat ho...
Tum khwahish ho tum hi hasrat ho...
Dil me jigar me aur aankh me ab bas tum hi tum ho
Tum zindagi ho aur tum hi aadat ho!!!

-


6 OCT 2024 AT 12:47

Jaam bhi toota aur toota suroor bhi
Dil bhi toota aur toota ghuroor bhi

Ik tu kya badla ki meri duniya hi badal gayi
Aitbaar bhi toota aur toota tujhe paane ka fitoor bhi!!!

-


6 OCT 2024 AT 12:34

Teri nazron ka mujhse anjaan hona
Tabaah kar gaya mujhe tera badgumaan hona!

Ab to hosh me bhi behoshi ka aalam hai
Lagta hai jurm sa ab to insaan hona!!!

-


6 OCT 2024 AT 12:29

Rishte muhabbaton ke wafaon se nibhaye jate hain
Labon se nahin rishte dil se nibhaye jate hain

Maar dete hain log aksar laga kar buhtaan!
Paak-daman log bahut aazmaye jate hain!

-


6 OCT 2024 AT 1:22

Pata hi nahin chala ki wo mere humsafar se kab mera aayina ban gaya!!!!!

Main roun to rota hai!
Main hansun to hansta hai!
Main soun to sota hai!
Main jaagun to jagta hai!

-


6 OCT 2024 AT 1:10

Dara rahein hain mujhe nafrat ke ishare!
Lekin mujhe sambhale hue hain ummeed ke sitare!

Mana ki hazaaron mushkilein bhi hain saamne aayi hui...
Magar abhi doobe nahin hain mere ummeed ke sitare!

To kya hua ki abhi khiza hai, bahaar bhi aayegi ek din...
Kis qadr haonsla dete hain mujhe ummeed ke sitare!

Toot bhi jaaun to simatne ka hunar aata hai...
Har waqt mujhe purjosh rakhte hain ummeed ke sitare!!!



-


Fetching Z. Fatima Quotes