Achai se jab hum mehroom hote hai
Burai mein jab masroof hote hai
Adawat ke palo mein bhi jo sacchai ka daaman nahi chodte
Woh jaante hai, ke nafrat ke bhi usool hote hai.-
Author - A Place Called Selfdom
Co - author - Pitah - Ek Samarpit Charitra
Is this what captivity feels like?
To fall forever, in a dark abyss
To float in isolated loneliness
To deny deliverance exist
Or to simply evoke your inner artist.-
Kaha lekar jaonge etni nafrat
Jab yeh duniya apni hi nahi
Har raasta jo jannat ko jaata hai
Waha nafrat pahuchati hi nahi.-
Hum dono ka saath chalna kyo mushkil hai
Kabhi baithe sochti hu
Kyo dusre yeh dukho ka samandar, paar kar paate hai
Mein baithe sochti hu
Kyo aasaan lagti hai har woh cheez, jo hum jhel nahi paate
Mein baithe sochti hu
Phir bhi ek dusre ka saath hum kyo chhod nahi jaate?
Kabhi baithe sochti hu
Shayad badal rahe hai hum har pal
Shayad todd rahe hai bachpan ke zehrile pal
Apni kashti hum khud bina madad bana rahe hai
Apne bete ko tairna apne dhang se sikha rahe hai
Kahi usse na doobade humara nasli sadma
Shayad es liye bahao ke saath nahi
Hum lehrro ke khilaf jaa rahe hai.-
Bus ab kuch der aur
Yeh rishta dum tod raha hai
Thodi si aur takleef
Rooh jism chhood raha hai.-
Yeh kaisi na insaafi hai ya rab
Aaj bhi woh khushi le gaya,
Aur humare hisse muskurahat aayi.-
Khamosh ho jaati hu, ab shikwa koun kare
Ek hi hai hum sab, batwara koun kare
Dil dukha ke bhi, dil ke kareeb rehna chahte hai
Bardasht kar leti hu, khulasa koun kare.-
Darr lagta ab pyar ishq mohabat ke naam se
Ulfat se konso dur rehte hai
Azma liye mehboob ko humne
Ab khudko mehfooz rakhte hai.-
Ek galat fehmi paali thi humne
Aur naam uska mohabat humi ne rakha tha.
Umeed bhi humi ne bandhi thi
Aur nibhana bhi humi ne zaroori samjha tha.-
Jab duniya ki marzi ke khilaf jaakar tumne pyar kiya
Toh nibhane ke liye kyo duniya ki marzi ka intezaar kiya?-