Aakho se sabnam yu hi bha nahi karte
din ho ya raat ham ek jagah raha nahi karte
Aur band pinzaroo me urne ki khawahis, rakhte honge koi parinde
Ham to baaz hai bin Aasmaan ko dekhe ura hi nahi karte
-
Aye manzil ke musafir
Kyaa khub hai teri kashti
Jo panaghah hua karti thi
Wo ban gayi hai basti-
Jikr khuda kaise apnauu
Issaq-nabi kaise mai batau
Iss duniya me na koi chiz hai behtar
Agar nabi ke tarikee pe na aazmau-
Kash mai rahuu un nagino me
Aur Maut mujhe aaye yuu madine me
Laboo pe jaari rahe tera naam
Aur iman rahe mere seene me-
Bin manzilo ke to parinde bhi nahii ura karte
Ham to bhla insaan hai
Bahut se raaz hai duniya me poshida
Jo kabhi zahir nahi huua karte-
Phulo ke murjha jaane se
Paudhe murjhaya nahii karte Or
Batil ke ubhar aane se
Haq chhup jaya nahii karte-
Kisi saap ne agar
kisi parinde Ko kha Liya
To ye na samajhna ki wo mar Gaya
Balki wo to Apne ghar Gaya-
Tu likh to kitaboo me tera Naam paaye
Tu padh to duniya ke kaam aaye
Aisa Insan ban ki janntiyoo me tera bhi Naam aaye-
Sar Tere dar par hoo
Aur Dil me jab Quran hoo
Maut aise waqt aaye
Jab Labo par tera Naam hoo
-