Jo log mujhko jaante the, jaante the ye
Ki jaan bhi de dunga meri jaan ke sadqe...
Ab log mujhe maante hain, maante hain yun
Maani nahi maine jaan ki bhi abhimaan ke aage!
जो लोग मुझे जानते थे, जानते थे ये
कि जान भी दे दूंगा मेरी जान के सदक़े...
अब लोग मुझे मानते हैं, मानते हैं यूं
मानी नहीं मैंने जान की भी अभिमान के आगे!— % &-
Tumse bichhde ek zamana ho gaya hai,
Baad uske, Jane kya-kya ho gaya hai.
Maut se ab dar nahi lagta hai humko,
Zindagani ka tajurba ho gaya hai.
Khoon jab ankhon me utra, to ye jana,
Rang iska aur gehra ho gaya hai.
Bewajah tanhayi me yun muskurana,
Khud ko dekho, ye tumhe kya ho gaya hai?
Rafta-rafta teri ulfat chhuti hai ,
Hotey-hotey fasla sa ho gaya hai.
Apni lehron pe itrata phirta tha,
Humse milke dariya pyasa ho gaya hai. — % &-
Thak na jaun kahin, ye khauf satata hai bohot,
Baad thakne ke, ghar yaad jo aata hai bohot.
Ho na ho, dard koi gehra hai us shakhs ke sath,
Bewajah kyun bhala wo muskurata hai bohot?
Nahi aasan hai nazro se meri gir ke uthna,
Gira jo ek dafa, phir girta jata hai bohot.
Sambhal ke rakho tum ye wafa ka sheesha,
Zara si chot lage,to ye toot jata hai bohot.
Koi to mantar the us ajnabee ki ankhon me,
Mila bas ek dafa, par yaad wo aata hai bohot.
— % &-
Main sab kuchh bhool jata tha jo tere paas aata tha,
Jo tujhko bhool baitha hun to sab kuchh paas hai mere.
मैं सब कुछ भूल जाता था जो तेरे पास आता था,
जो तुझको भूल बैठा हूँ तो सब कुछ पास है मेरे.-
Kisi ka khwab me aana jo itna aasaan hai,
To kisi ka khwab se jana bhi kahan mushkil hai?
Jo tu bhool hi baitha tha azmat meri,
To tujhe bhool bulana bhi kahan mushkil hai?
Teri nazron me tu hoga, jo bhi hai tu,
Tujhe nazron se girana bhi kahan mushkil hai?
Purana saal jo zidd kiye hai jaane ki,
To naya saal bulana bhi kahan mushkil hai?-
Shiqwe aur shikayato se meri maafi hai, mujhe jeene do
Main aaj hu, is pal me hu, ye kaafi hai, mujhe jeene do!
शिक़वे और शिकायतों से मेरी माफ़ी है, मुझे जीने दो
मैं आज हूँ, इस पल में हूँ, ये काफी है, मुझे जीने दो!-
Udasi gher rahi thi silsila ban ke,
Aa gaya dost koi phir hausla ban ke.
उदासी घेर रही थी सिलसिला बन के,
आ गया दोस्त कोई फिर हौसला बन के.-
Khud ko dhundhen kahin phir se,
Kar de tanha jo zindagi phir se.
ख़ुद को ढूंढें कहीं फिर से,
कर दे तन्हा जो ज़िन्दगी फिर से।-
Bakhuda main dhund lun tanhayi ka ilaaj,
Ye kambakht bhi to mujhe marz si lage!
बख़ुदा मैं ढूँढ़ लूँ तन्हाई का इलाज,
ये कमबख्त भी तो मुझे मर्ज़ सी लगे!-
Khud me itna bhar gaya hu, tumko kya tadbeer du?
Agar zor se main cheekh du, to aasman ko cheer du.
ख़ुद में इतना भर गया हूँ, तुमको क्या तद्बीर दूँ?
अगर ज़ोर से मैं चीख़ दूँ, तो आसमान को चीर दूँ।-