Wo Khidki pe baithi thi mai saamne bich wali seat pe,
Hum Safar me the or Lamha taher gaya,
Aankho hi aankho me kai baatein ho gayi,
Dilon ne sari baat sun li or honth gumsum reh gaye,
Ye train chuk chuk kar bas yuhi chalti rahi,
Engine ki tarah in dilon se dhuwa yuhi uthta raha,
Ye silsilaaye Safar shuru hi hua tha dil ki dhadkan rukne hi lage the, par kambhakt manzil aa gaya...-
Wo bewakoof patta bhi shaak se gir k bas yahi soch raha tha k daliya muje wapas utha lengi...
-
Mehnat ki kamai se mili Namak Roti bhi swaadisht lage,
Haraam ki kamai ka Amrit mila Chappan Bhog bhi feeka lage...-
Na kabhi use taras na kabhi use sharm aaya tha,
Jala diya hamare Sapno ka ghar Jo humne milke sath banaya tha...
Uski aankhon me jaane kya andhera chaya tha,
K usne ye bhi naa dekha k us ghar k sath usne hame bhi jalaya tha...-
तुम साथ हो या ना हो क्या फर्क है,
बेदर्द थी ज़िन्दगी बेदर्द है..
-Irshad Kamil-
Bahot badi kimat lagayi thi usne apne pyar ki,
Or mai bewakoof khali hath chala gaya....-
Bahot badi kimat lagayi thi usne apne pyar ki,
Or mai bewakoof khali hath chala gaya....-
Tere chehre se nahi tere dil se ishq hai,
Tere aankho se nahi teri rooh se ishq hai..
Tu sath ho ya na ho is jeevan k safar me Saheba,
Mere zindagi ki is kitaab me,
tere sabaq se nahi tere naam k panne se ishq hai...-
Jo puri zindagi bitane chahate the in baaho me kabhi,
wo ab mere Maut ki duwa karte hai....
-
Berang si hoti in seharo ki Galiyan gar tu aye dost mere sath na hota....
-