मैं अकेला यहां और दिल हजारों मिल दूर
मैं इंतजार में तेरे, तू आना तो जरूर
बेसब्री मेरी बेइंतेहा बरसती रह गई
बरसते पानी में पास आना तो जरूर।
मैं अकेला यहां और दिल हजारों मिल दूर।-
Love to explore the world, food and music.
Thak ke teri yaad mai, idhar hi mar jau
Tera intezar karu main, ya aage badh jau
Main hu nahi thik, tu kyun bolti hi nahi
Itna khayal toh kar, tu kyun sochti hi nahi
Main sochta rahu akela, phir akelepan se dar jau
Tera intezar karu main, ya aage badh jau......
-
Main har boond ban jau iss barish mai
Tujhpe baras jau teri hi sifarish mai
Pyar se tujhe main iss kadar chu lu
Ke bas meri nazdikiyan hi rahe teri khwaish mai-
Tumse mile toh char pal hi huye the
Char shabd baate hui, abhi tumhe kaha chuye the.
Phir na jaane hamare kisse mai kon aa gaya
Tum par mere likhe huye hisse mai kon chaa gaya.
Tumhe samjhate manate ye baccha behaal ho gaya
Phir sath khubsurat si yaade banate, najaane kitna saal ho gaya.
Achanak galatfemi ka diwaar ekdam se khara hua
Choti si toh baat thi, najaane kitna bada hua.
Ab soch ke lagta hai kyun jaane diya yaar
Lekin der bahut ho gae aur adhura reh gaya wo pyar.-
Zindagi mai kai mor loge
Aaj isse kal usse chor doge
Aur chalte rahe issi benaam bematlab rishte mai
Toh maan lo, ek din kudko tor loge-
Jab itni jor se pyar aaya tha toh jaane kyun diya
Aana ke maan phir bana nahi toh aane kyun diya
Tumne jo kiya wo tumhara dil hi toh janta hai
Tumhare rab se pucho jara, ye ajeeb sa ishq banane kyun diya-
Jab itni jor se pyar aaya tha toh jaane kyun diya
Aana ke maan phir bana nahi toh aane kyun diya
Tumne jo kiya wo tumhara dil hi toh janta hai
Tumhare rab se pucho jara, ye ajeeb sa ishq banane kyun diya-
Chalte chalte ek rah mai
Baagiche ke payro ki cha mai
Hai koi aur par hum tum nazar aa rahe hai
Mujhse chaar kadam pass mai
Jor se hasne ki aawaz mai
Hai koi aur par hum tum nazar aa rahe hai-
Pyar mukammal ho ya na ho ye toh kismat ki baat hai, magar ye maano ki dil toh sabke tutate hai kuch kahani mai
Aaj wo toh kal hum, aur kabhi dono na ho toh phir char log hi ruthte hai uss kahani mai...-
Usne kaha "Mujhe ab dar lagta hai!!"
Mujhe lagta hai ye soch kheta hai tumhara, zindagi ko bas ek hi nazar se dekhne ka jo soch hai tumhara
Tum janti nhi tum pehechanti nahi kudko, jo ye hosh hai tumhara
Bebas hoga magar kamjor nahi ye dil tumhara
Ye puri zindagi hai koi dour nahi tumhara.......-