Yash Maurya  
24 Followers · 3 Following

Joined 22 May 2019


Joined 22 May 2019
2 FEB 2023 AT 3:45

Main kya batau tumhara ehsaas mujhpe kya hua hai...
Maine milaya tha jo haath 7 saal pehle,
Uska ehsaas aaj bhi hai,
Tumhara asar aisa chaya hai mujhpe...
Mila kitno se aaj tak lekin tumhara khayal aaj bhi hai,

-


2 FEB 2023 AT 3:38

Main kya kahun tumhare bare main...
Maine milaya jo haath 7 saal pehle woh haath aaj bhi dhundh raha hun...
Tum milogi ussi modd pe yeh khayal liye main uss modd pe roz ghum raha hun..!!

-


2 FEB 2023 AT 3:33

Main uske kahani ka kissa hun uski kahani nhi,
Main uske zindagi hissa hun uski zindagi nhi,
Main hun uske liye sab kuch lekin, uska nhi hun...
Main hun yaha uske samne lekin, main uska liye nhi..!!

-


12 OCT 2022 AT 11:18

Main nahi janta kya baat hai...
Kyu yeh ajeeb ehsaas hai,
Mujhe tumhe gale lagana hai...
Tumse kabhi dur nahi jana hai,
Tumhe dekhna hai mann bhar ke..
Bhale mera mann kabhi bharta nahi tumse,
Tum aao na mujhe tumhe kuch batana hai..!!

-


12 OCT 2022 AT 11:13

Waqt mile toh Milne aana...
Milne aaogi toh saath thoda waqt bhi Lena.,
Tumhare saath waqt ka pata hi nahi chalta...
Jab aana apne saath waqt zaroor lana..!!

-


19 SEP 2022 AT 9:28

Suno na...
Chalo apna kuch yun rishta karte hain..
Main subha ki chai banaun, aur hum saath baith ke piya karte hain..!!

-


7 SEP 2022 AT 8:24

Kya kahu main, kya hogya hai..
Usse dekh Mera Dil phir se kho gya hai,
Ab toh nazre uspe se hat hi nahi rahi hain...
Naa jane yeh kaisa jaadu hai,
Usne pehni saree aur lagaya kajal hai...
Arey usne toh apne baalon main sajaya gazra hai,
Yeh dekh Mera Dil uspe hi jaa atka hai😍❤️..!!

-


6 SEP 2022 AT 19:47

Karne ko toh tareefein yun hi kar dun..
Lekin aaj toh Chand bhi chup gya usse dekh ke.,
Usne kuch yun apni khubsurati ka jhalak dikhaya hai...
Aaj woh saree pehen ke nikali hai,
Aur usne phir se mera dil churaya hai..!!

-


6 SEP 2022 AT 19:15

Aaj mausam main badlaw hai...
Kuch toh khaas hai,
Aaj usne saree pehni hai...
Bahot khubsurat ehsaas hai😍

-


2 SEP 2022 AT 19:28

Yun hi inn baarish ke boondo ki tarah tumhe chuna hai mujhe...
Yun hi inn hawaon ki tarah tumhe khud ka ehsaas dilana hai,
Kitni mohabbat hai kitni yaad hai tumhare liye mere dil main sab batana hai...
Tumhe gale laga ke ek pal main hi humesha ke liye khud ka banana hai..!!


-


Fetching Yash Maurya Quotes