Woh mera hissa thi
Aaj mera kissa hai
Haato ki lakeer se judi thi
Aaj mere atith se judi hai
Mere saath thi toh sukoon tha
Aaj jab saath nhi hai toh junoon hai
Kehne ko toh paas nhi hai
Par aaj woh mere saath nhi hai
-
Jisse mile bina din nhi kat ta tha
Aaj usse mile huye jamana ho gaya
Jisse baat kiye bina raat nhi kat ti thi
Aaj wahi raat katne mae jaise sadi beeth jati hai
jiski zulfon se khelta tha
Aaj unhi zulfon ko chune ko yeh ungliya Tarasti hai
Aaj kitne mahine beeth gaye uske bina
Par lagta hai ki kal hi toh mile tha
4/10/16
-
Woh asmaan thi meri,
Aur mae zameen uska,
Ek toofan ne sab kuch barbaad kar diya-
Tum meri maut ki wajah bangayi ho
Pehle mere jeene ki thi
Aaj kisi aur ki ho-
Woh jab thi toh manzar
hi kuch aur tha
Aur aaj sirf khanjar hi khanjar hai
seene mae-
Chot tunne di thi
Zakm mujhe hua tha
Wasta tunne thoda tha
Aur barbaad mae hua tha
Khwab maine dikhaya tha
aur toda tunne tha
Bolna tunne band kiya tha
Aur chup mae hua tha-
Agar meri aakhri saas pe
likha ho tujhse milna toh
mujhe maut bhi abhi manjoor hai-
Tum mere aaj mae hoti toh
Tumhare saath kal banata
Par tum toh mere kal mae
Hi reh gayi aur mae us pal
Mae hi reh gaya-
Agar Jannat naseeb huyi toh
milege jaroor
Waha koi na hoga tere mere beech
duriya badhane ko-
Tu jab mere sath thi
Mae tabh us kabil nhi tha
Aaj jab tu saath nhi hai
Mae us kabil hu
Par tu mere kabil nhi hai-