Ki umeede thi saari toot gyi,
Ek pal me ye saari zindagi choot gyi,
bs intezaar kr rhe the tumhara,
fir kahabar mili ki tumhari saanse ruk gyi....-
Ki aao kabhi mulakat karne toh
saari bandishe tod k aana
ye din-raat subah-shaam
saare bandhan tod k aana
woh mulakat ho kuch iss kadar ki
tum swarg se aur me prithvi se
saare bandhan chhod k aana-
Hai shor si zindagi
Tum sukoon ka ek lamha ho
Meri zindagi ki pustak ka
Tum sabse mahatvapoorn panna ho...-
sapno me hoti hai mulakat unse
par woh kuch kehte nhi hai
khushi aur ghum k ye faasle muze sone dete nhi hai
yu toh bohot gehri neend aati thi muze sirharne unke
par ab ye faasle muze sone dete nhi hai
-
Tum gye iss kadar
ki shor bhari zindagi me sannata hogya
Tumhare yaado k khaatir jeene ka sahara hogya
zindagi tumne di jeena sikhaya
bs yahi mere jeene ka sahara hogya!!!-
Dur gye ho iss kadar
ki paas ab kuch bhi nahi
kya khoya kya paaya
hisaab ab kuch bhi nhi
yu toh poora jaaha hai dil lagaane ko
pr tum nhi toh ye jaaha kuch bhi nhi-