Yamini Vijay   (@the_poetic_spoon✍)
96 Followers · 224 Following

Joined 16 February 2019


Joined 16 February 2019
15 JAN 2022 AT 17:50

Jab apno ka batwara hota hai ,
Tumhe kya milega yeh batao.,
Jab zindagi ke neev ka sauda hota hai,
Toh maut se bolo tum jaldi mere
pass aajao....

-


14 JAN 2022 AT 20:54

Aaj ek sapne ne aane wale kal ki haqeeqat
se waakif karaya hai,
Aakhir kya bhool kar rhi thi main yeh
samjhaya hai.,
Waqt kisi ke liye nhi theherta yeh sach hai,
Isiliye usne aaj asaani se hamari jagah kisi
aur ko apne waqt ka malik banaya hai....

-


12 JAN 2022 AT 0:53

Jo khoya woh dhundane se milega,
Gawaya hua kabhi wapas nhi aaya hai.,
Zindagi mein sirf wahi sath chalega,
Jiske liye tumne khushi se khudko
haraya hai....

-


8 JAN 2022 AT 22:56

Dil ko jhuthi tassalli dena jaruri hai,
Sachai aksar dil ko dukhati hai.,
Jhuthi duniya mein rehna meri majboori hai,
Kyunki apno ka sach meri aakhein
dekhna nhi chahti hai....

-


7 JAN 2022 AT 0:49

Kuch log bheed mein apni jagah banate hai,
Toh kuch bheed mein kahi kho jate hai.,
Raja toh woh kehlata hai,
Jiski kamyaabi ke aage sab dil se sir
jhukhate hai....

-


6 JAN 2022 AT 0:07

Kya sach mein apno ke beech dooriya aayi hai,
Aakhir kyu unke rishton me tanhai hai.,
Jo kal tak ek dusre par jaan chidakte the,
Kyu aaj unke mann me ek dusre ke liye
zeher se kadvi baatein samayi hai....

-


4 JAN 2022 AT 0:00

Kya aaj bhi kisi ki yaad mein hu main,
Kya unke beetein hue kal ka khubsurat
khayal hu main.,
Zindagi mein aate toh hazaaron log hai,
Par kya kisi ka humraaz hu main....

-


1 JAN 2022 AT 18:08

Zimedario ke bojh ne hamare bachpan
ko kaid kar dia hai,
Chalo isse dhundhne ke safar par nikal jaye.,
Ehsaason ko jo humne kho dia hai,
Unhe phirse dil ke khajane pe lautne
hukum sunaye....

-


26 OCT 2021 AT 0:01

Usse aaj bhi hamari kami ka ehsaas nhi hai,
Shayad uske liye zindagi ek shatranj
ki bisaath thi yeh baat sahi hai.,
Aaj uski sheh aur hamari maat zarur hui hai,
Magar koi usse samjha de ki hum bhi
asaani se haar jaane wale gulam nhi hai....

-


6 OCT 2021 AT 0:47

Jhuthe rishton ko sacha maante hai hum,
Galatfehmiyon ko dil se apnate hai hum.,
Apno ne gairo ki bheed me choda hai hume,
Isiliye ankahi baaton ko lafzo mein
pirotein hue nazar aate hai hum....

-


Fetching Yamini Vijay Quotes