Ye Ishq bhi kya cheez hai n
Ye ladko ko careless se caring & responsible bna deti hai
To ladkiyo ko strong se childish
Bas jarurat hoti hai to sache aur sahi insaan ki-
Dilo ki baat karta hai zamana
Par mohabbat aaj bhi surat se shuru hoti hai
Rishte nibhane ki baat karta hai zamana
Par aaj bhi tabahi log kya kahenge se shuru hoti hai-
In the silence of my heart
I realized few stories aren't meant to be forever , few people aren't meant to stay forever
It's not about holding but to know when to let go, not because I wanted to but to close this book on a happy note
Cause I want to turn the pages and always read it as it wasn't the love which hurted, it wasn't our bond, it wasn't you,it wasn't me..
It was the Dream of what we couldn't have-
Tu kehta rha tu nhi hai mera
Mai sochti rhi ki aaj nhi par kabhi to hoga mera
Mukkamal hua vo khwaab bhi mera
Tere dil par hua raaj mera
Par shayad qismat ko nhi tha ye manzoor
Isliye kardiya hume mazboor
Na galti thi tumhari n galti thi humari
Phir bhi khahani reh gyi adhuri humari
-
Ise faisla samjho zamane ka
Ya sazish uppar wale ka par....
Jitni khwahish ki thi tumhare paas rehne ki
Utni hi koshish kar rhe hai tumse door hone ki
-
Kisi ne Khoob kaha hai
Waqt rehte kitabo se sikhlo to
Neend achi aati hai
Jo waqt beet jaye aur zindagi sikhaye to
Sari neend udd jati hai-
Pta hai tu kismat me nhi mere
Par kya karu is Dil ka jo bas me nhi mere
Pta hai tu sath n hoga akhri pal me mere
Par kya karu is Dil ka jo is pal sath hai tere
Pta hai ek din dooriyan hongi hisse mere
Par kya karu is Dil ka jisme kisse hai sirf tere
Har aks har saz har raaz me hai tu mere
Shayad isliye ye Dil n hai bas me mere
-
Kya kahu meri zindagi me kya ho tum
Khuda se mangu har roz vo dua ho tum
Aadaton me sabse haseen aadat ho tum
Bechain mere dil ki rahat ho tum
Pareshan mere rooh ka sukoon ho tum
Mere har sawal ka jawab ho tum
Gazlo ka meri likhawat ho tum
Mere chehre pe muskurahat lade vo naam ho tum
Meri khushi mera sukoon mera sara jahan ho tum
Ab isse jyada kya kahu meri zindagi me kya ho tum ....
-
Jise har cheez pe zidd karne ki aadat thi
Use zindagi sabr karna sikha rahi hai
Jise khushiyon me jeene ki aadat thi use
Aansuon ka mol samjha rahi hai-
Aaj kisi ne pucha kya rishta hai tumhara?
Aur jawab aaya....
Vo hath thamta to nahi mera par akela chodta bhi nahi..
Pyaar karta to hai par kabhi jatata nahi..
Khwaab dekhta hai sath ke par hakikat bnata nahi..
Mera Dil to lekar baitha hai par apna deta nahi..
Kehta hai Ghar walo ke baad mai ghar hu uska par ghar ka hissa bnata nahi..
Kya kahu kya rishta hai mera uske sath jo rishta nibhata to hai par naam deta nahi..
-