Ek saath ki talaash me..
Yun waqt guzaar sa diya..
Aj andhero me ghirkar hi sahi..
Ek saye ko humne paa sa lia..
Haan thoda rutha sa hai..
Dil shayad uska tuta sa hai..
Per zara pyaar se baat kya ki..
Wo saya bhi muskura hi diya!!
Fir kya,
Haath thaam kar uska..
Aj gale se bhi laga hi liya..
Arey, gaur se dekha toh..
Ye saya bhi mera hi tha..
Ab tak anjaan thi jaise khudse..
Ye kissa bhi mera hi tha..
Bas isliye…
Khudko gale lagakar,
Aj khudko apna saathi bana hi lia!
-