Yahya Choudhury   (Deep emotions)
16 Followers · 16 Following

Know me @ instagram 👉 @you_know_scorpion❤️
Joined 16 September 2020


Know me @ instagram 👉 @you_know_scorpion❤️
Joined 16 September 2020
7 APR 2023 AT 23:52

Waqt aur halaat ki girebaan pakadke badla lunga
Khushi ke kuch lamhe..haathon ki lakeer kaat kar likh jaaunga
Ek umr marr marr ke jiya hai tere chehre ki naa mein
Mujhe masti mazaak mein bhi kabhi muskaan naa dikhaana..Mai marr jaaunga

-


1 APR 2023 AT 3:37

Kyou hum waqt ki nishaaniyon ko umr bhar mitaate rahe
Kyou hum jaanke bhi anjaan hoote rahe
Rahe koi hamaara..kyou hum iss gumaan mein rahe
Jinhoune hamaare liya umr guzaar diya..hum to unke bhi naa rahe

-


24 FEB 2023 AT 22:12

Ghalatfehmi tha..bachpana tha ya ishq tha
Koi humein bataaye ki aakhir kya tha
Mai Bhool kyou nahi paata aakhir
Mai Aage kyou nahi badh pata

-


7 FEB 2023 AT 23:38

Mohabbat toh Sirf Khuda karta hai...
Baaki loogon mein se koi apna farz nibhata hai..apna Haq ataa karta hai aur koi apna kaam nikaalta hai...

-


4 FEB 2023 AT 6:41

Maine unn aankhon mein mohabbat se pehle paise ki laalach deekha hai..
Mujhe mohabbat kehne se pehle..meri Aukat..naaptol karte deekha hai...
Deekha hai libaas mein kuch nahi...zubaan par parde ki baatein deekha hai...
Deekha hai..elm hai bohot kuch..deekha hai Amal mein hai kya kuch

-


1 FEB 2023 AT 22:58

Aasmaan garajti rahi raat bhar
Hum barsaat ke intezaar mein the..raat bhar
Jo mohabbat karte hai..baat karte rahe raat bhar
Najaane hum kyou bekaraar hote rahe raat bhar

Dooston ke saath masti mazaak shoor sharaaba karte the..raat bhar
Ab Khaamoshi sataa rahi hai raat bhar
Uski yaadon ki mehal sajaate rahe raat bhar
Uske liye tadapte rahe..duaaon mein maangte rahe..ishaaron mein pukaarte rahe..sach kahu..hum toh bikharte rahe raat bhar..paas aane ki chaah mein..bichadte rahe raat bhar

-


29 JAN 2023 AT 23:23

Har dard ka dawa...dawa nahi hota
Har aansu..gham ka nahi hota
Keh to diya ki Safar rooze mein bitaa denge magar..
Ab manzil ka intezaar nahi hota..do boond paani haq mein nahi hota aur kafan ki chaahat poorie nahi hota...

-


29 JAN 2023 AT 1:42

Kabhi Teri chahat mein rooya...
Kabhi tanha raatein..teri yaadon mein bitaaya
Haa yaa naa pe kabhi ghaur hi nahi kiya
Tera aana..mere saamne se guzarna..yahi sab sochkar muskuraaya...

-


27 JAN 2023 AT 23:28

Usee kehna...wo jo tumhaare liye maraa karte thee...ab wo marr gaye hai...
Usee kehna wo jo useeke jaisa hubahoo dikhte hai...ab wo...wo nahi hai...
Usee ye keh Deena kuch kambakht kabhi wapas mudkar nahi deekhte...
Usee kehna Kuch kambakht..mohabbat aur nafrat...junoon ke hadh tak karte hai...

-


11 JAN 2023 AT 19:17

Kabhi Dil chaahta hai..mohabbat karu..kabhi nafrat karta hu
Mai Khush rehkar bhi gham mein rehta hu
Kabhi jee bharkar Jeena chaahta hu..bin sooche gunaah karna Chahta hu
Kabhi sajde karta hu..jee bharkar jeene se darta hu.

-


Fetching Yahya Choudhury Quotes