mujarrad betha hun kabse is chaar diwaari mein,
kehne ko ye ghar hai mera is aali-shaan riyasat mein!
Ik alag c qaid mehsoos hoti hai mujhe yahan ki rounak mein,
badalti rehti hai hawaye rukh yahan ki gird-o-paish mein!
Sabar ka dhaman thame huve hun ik muddat se mein,
Bawajood iskay khabarein aati rehti hai mere bar-aks mein!
khamoshi kabki ikhtiyaar kar li hai maine yahan ki bandisho mein,
baatein meri na ahli ki phir b hoti rehti hai yahan kay danishwaro mein!
Kya karo, ye zanjeere todo kaise ab ya-elahi mein?
Dhoundo kahan sukoon-e-qalb is ajanabi shehar mein?-
Tajassus se bari padhi the nigahen unki,
the qaasid ki talabgaar dhadkane unki!
Aashna ke khat aane ki tareekh the aaj,
Toot padhi hai qayamat dehleez pe unki!
Justuju dil ko dekhne ki the jinhe badi,
Rakha gaya hai odhe kafan mein sirhane unki!
Aalam kuch aesa hai ab unke chaman ka,
Khate hai rouz gash woh yaadon pe unki!-
Kya is muashray se hum waqif nahi hai,
kya hum iskay baashinde nahi hai?
Tum kya samjhaa.o gay hume dard ki shidat,
kya hum is zamane ki aatishon se ruu-ba-ruu nahi hai?-
Parde ka taqaza tha yahan pe bada,
aurate he chalti the sir juka ke yahan!
Pamaal the sab kay aamaal beintiha yahan,
aurate he tab bhi the gunehgar yahan!
Koi saamne se lanate deta hua guzra hai yahan,
jahil woh phir bhi aurato ko he samajta hai yahan!
Haq adaayi ka waqia jab pesh aaya yahan,
Kamzarf samajke aurato ko he dabaya gaya hai yahan!
Mohabbatein bhi badi jatayi gayi hai yahan,
khilona samajke aurato ko he istemal kiya gaya hai yahan!
Ab,
Yahan se muraad tum chahe ghar lelo ya phir ye duniya,
arz bas itna sa hai ki auratein bhi hai haqdhar izzat-o-waqaar ki yahan!-
Mere har ik kalaam mein ab thehrav paoge tum,
Zindagi ka hasbo nasb meri muskaan mai paoge tum!
Maine haasil kar liya hai sajdo sai sukoon,
Diyanat dari isiliye mere hisaab mai paoge tum!-
Tabassum ka libaas pehne bhatakte rehte hai,
log awaara hume yunhi nahi kehte hai
Zindagi bhar ki hasratein khwabo mai haasil karte hai,
log gareeb hume yunhi nahi kehte hai
Mazza na aaye tujhe toh bacha-kucha tera kha lete hai,
log neech hume yunhi nahi kehte hai
Mohabbat ka daaman bhi phelaye huve chalte hai,
log bikhari hume yunhi nahi kehte hai
Haan, taras toh aata hai apni tangdasti pe,
par zameer bejh kay shaan-o-shaukat se hum nahi rehte hai!
-
Shaan ki talaash mein khwar hogaye,
zameen nigal gayi, be-zabaan hogaye!
Saadgi ki giraft mein mazaak ban gaye,
log haste rahe, hum misaal ban gaye!-
Abhi beshak tujhe woh aahat sunayi na de,
Abhi beshak tu apne husn pe shikan aane na de,
Arey abhi jee le tu aur kuch din apni shohrat kay,
Kal yahe roh-o-jism chal padhega tujhe sar-e-rah chodh kay!
Phir kya muh leke jayega uske dhar pe,
khouf khud he khaye ga tu apne chehre se,
Arey siyah-kaari ka saboot b mile ga tujhe wahan pe,
Phir na baagh paye ga tu uske adal-o-insaf se!-
Mai uski firaaq mai kahin kho na jaun,
angaro pe se chal kay kahin jal na jaun!
Woh chaheta bhi hai mujhe zara ye toh jaan lo,
agar chaheta hai toh zara shidhat toh jaan lo!
kyun dekhu mai fakat sapne uski aamad kay,
woh zara sa ishara toh kar de,
usse haqeeqat he bana lo!-
Yun toh kabhi alfaaz kam nahi padhte,
chashme bhi behna yunhe nahi chodhte!
Haan ab na hai koi maqsad-e-hayaat,
shayad tabhi ye gham maayane nahi rakhte!
-