Sharab, Gulab aur Chand
Teri aankhe lab aur mushkan
Hum pe meherban hue hai
Aaj zameen-o-aasman
Toda sa jhoom kar jhatka de
Teri zulfo me bandh hai mere dono jahan
Dilkashi, Deewangi ya Dillagi
Aakhir kya hai tumhara naam
Phool, bhawre, titliyan
Fida hai tumpe gulshan tamaam
Main Shayar hu, tu gazal hai
Mere geeto ko dede apni jubaan
Chuva tha maine zameen se chand ko
Ye tere chehere pe kaisa nishaan-
‘A Girl in Love with a Begger’ ,
‘ My Blind Father’ ,
‘Life in Words',
‘Zindgi a... read more
Sochta hu kbi koi gazal likhu to tujhe likhu
Tere hatho pe apne hatho se koi pegam likhu
Koi sher teri palko se uttre, tere hothon pe tahere
Apni aankho se teri aankho par salam likhu
Tere kajal ki sahai ho, nazare kalam hojaye
Fir jo likhu, to khuda ki koi Quran likhu
Tere jism ki banavat gazal me daal jaye
Main aankho se dekhu aur dil ki juban likhu
Teri benaam aadao ko koi naam dedu
Tujh pe zulfe sawarne ka ilzam likhu
Tere chehere ke til ka zikar ho
Jis me tu dikhe vo nazam likhu
Mere rang me rang ne wali
Tujhe meera khudko shyam likhu
Teri khusboo me jo saanse maine bhari hai
Izazat ho teri, to shar-e-aam likhu
Aaj mahobbat ka imthan hoga
Tere har jawab me haan likhu
Anuj ki duniya me duniya ho tum
Tumhari duniya ka kya naam likhu-
First dare to ask universe
for what you want
Then work hard until
your head and hands goes numb
Then have guts to digest failure
and teeths to chew criticism
Then have steel legs to stand again
and then have patience of mountains
and trust of farmers on rains...
And still it doesn't assure
you will get it, but
this is the only way...-
Hawaine to phele bi chalti thi
Magar ab tum aaye ho to
Ek rawani si hai…
Nazre badli ya nazare badle
Jab inn ankhone ne tujhe dekha
Koi chez na purani si hai…
Intzar me tere umar beet gyi
Ek pal jo tere sath bitaya
Lgta raggo me jawani si hai…
Eithass mujhe kyu yaad rakhe ga
Magar tujhse jud ke lga
Apni bi koi kahani si hai…
Mere pass bs teri yaadye hai
Bs inhi se lgta hai
Mere pass teri ek nishani si hai…
Sirf main nhi jala virhe ki again me
Uski aankh bi laal thi
Vo bi meri dewaani si hai…
-
Har zameen har aasma ka shukariya
Jo mujhe umar bhar na udne diya
Ab fariste hume khud lene aaye hai
Aaj pyaase pass khud chalke aaya dariya
Kai sapne kai dil toote hai jaise mere andar
Ab na koi nazar bacchi hai na koi nazariya
Khuda aas pass hi raha par mujhse na mila
Bas yuhi doori rahi tere mere darmiya
Ye saanse na teri na meri, Anuj
Yun na loota kisi aur ki amanat fakira-
Tujhse nazar na hatte ae aasmaa
Kbhi to do pal neeche uttar ke aa
Kis baat ka abimaan hai tujhe
Samne baith kr kbhi nazar to milla
Baadal suraj chand sitare
Kammal ka hai tera aashiyana
Tera garoor...mera saroor...
Dekh khi chhlak na jaye paymana
Teri khamoshi me chup hai duniya sari
Ab to bol, sab ki sazza sunna
Jitna tu uccha, utna main gheera
Kbi aa mujhme samaa…
Lagta sayad tu bi gum hai sadiyo se
Chal aa, dosti ka hath badaa…-
Ye duniya nahi, ek pinjra hai
Uchi uchi deeware hai, rasmo riwajo ki
Badi majboot salakhe hai joothe vaado ki
Kadam kadam pe pehere hai
Chalte nahi, sab there hai
Dikhta nahi ye aisa jaal hai
Ye duniya nahi, ek babbal hai
Hawao me umeedo ka kadvapan hai
Bade banne se dabha bachpan hai
Paal posh ke ehsaan kiya
Khud maa-baap ne jeene ka haqqq cheen liye
Ek ke peeche ek chalta jaise bandhi zanjeer hai
Ye duniya nahi, pathar ki lakeer hai
Jeevan chhota, bade makaan hai
Mar mar ke jeene me kesi kisi shaan hai
Aankhe nahi talvaare hai
Logo ka dekhna hi sabko mare hai
Samjho aur bacho, abhi bhi moka hai
Ye duniya nahi, ek dhokha hai
Baataine hai jinko koi maane nahi
Khamoshiya hai jinko koi jaane nahi
Yahan rona kamjori, hasna majburi
Bas khudko chhod sab ko khus karna jaruri
Alag alag bhesh hai, alag alag bhasha hai
Ye duniya nahi, ek tamasha hai-
Vo gaown ki purani feerni jaisi thi
Main khet kinare khde aam jaisa tha
Pyar ka mausom to aana hi tha
Patjhad koi k din jana hi tha
Vo aate jaate mujhse milti thi
Main har mausom uski raha takta tha
Vo gaown ki purani feerni jaisi thi
Main khet kinare khde aam jaisa tha
Vo mastani main deewana
Uski baate, mera mushkana
Meri chav me vo aaram karti thi
Uski rawani se mujhe jevan milta tha
Vo gaown ki purani feerni jaisi thi
Main khet kinare khde aam jaisa tha
Deewali par deepo se sazti thi vo
Holi par rango se rangti thi vo
Gaown ki izzat kehete the usse log
Mujh par har koi pathar barsata tha
Vo gaown ki purani feerni jaisi thi
Main khet kinare khde aam jaisa tha
-