WhoXain Un Ver   (Unver_sified)
58 Followers · 33 Following

Calligrapher and writer
Joined 14 September 2017


Calligrapher and writer
Joined 14 September 2017
17 NOV 2023 AT 19:52

Ashk ankhun me chupaonga, chala jaonga, 
Yun na daman pe bahaonga, chala jaonga, 
Mujh ko ek umar lagi hai isay pura kar lung? 
Tujh se nazrain na milaonga, chala jaonga

Tumko Jana hai chalay jao, magar baat suna,
Ab kabhi phir na bulaonga, chala jaonga,
Mil Gaye tum Jo kabhi raah me chalte mujhko,
Khud ka chehra na dikhaonga, chala jaonga

Wo bhi Unver pareshan hai tere hone se
Ab kabhi phir na sataonga, chala jaonga,
Apni yadon ko Tere Dil se mitane k liye,
Sari yaadon ko jalaonga, chala jaonga.

-


11 NOV 2023 AT 14:09

Umar mangun toh kis liye mangun
Zindagi yun bhi to adhuri hai, 

Chain aata nahi hai seene ko
Saans lena bhi kya zaroori hai?

Daf'atan hum se hi pareshan ho
Daf'atan hum se hi to doori hai

Kya kahain Ishq k marasim hum
Na mukammal hai yeh adhuri hai

Ashk chupta hai kya chupane se
Bas yahi Ishq ki Mazuuri hai

Sher padhna bhi hum ne chor diya,
Shokh Unver ye bhi fitoori hai.

-


2 OCT 2022 AT 20:32

Wagt ka taqaza yahi Bata raha hai ki
Khush fehmi mai hi zindagi guzar dain,
Jo bhi mas'ala Pareshan kar raha hai
Usi mas'alay ko hum khushi udhar dain.

-


11 SEP 2022 AT 14:50

Unto the last breath I take,
Till the cupcakes of dreams bake,
Until the parallel lines meet,
Until the moon begins to give heat,

Until death stops scaring me,
Until I see the last tree,
Until the stars disappear,
Until in space; we hear,

Until the sky meets the earth;
Until useless have some worth;
I swear to the enticing beauty of thine
That I will be yours and you will be mine.

-


14 JUL 2022 AT 13:15

Zulmat hai ki jafa hai,
Humse wo jo khafa hain,
Ye Ishq bhi to Unver,
Jhanjaal falsafa hai,

Kya dard ka musalsal,
Badhta ye silsila hai,
Na khatam honey wala,
Aafat ka qafila hai.


To be continued.... ❤️‍🩹

-


26 JUN 2022 AT 23:14

Someday when I die,
And when you walk by
My grave, I'll call you
But you won't have a clue,
You'll wonder who called,
From the grave tightly walled,
You'll find a familiar sound,
But no one will be around,
Deep beneath the soil,
Covered in a white foil,
I'll be looking at you,
Remembering moments between two,
But you will never know,
Who was there, when you go,
Deep down in the heart,
You will find a hidden art,
A picture of me hanging there,
And realise I was there.

-


6 JUN 2022 AT 17:19

Tumhari zaat ka mujhse nahi hai rabt koi,
Nahi raha hai mera zindagi pe zabt koi.

-


26 MAR 2022 AT 18:00

Safar kay ibtida se intiha kay intihayi tak,
Mulaqatoon ki shamon se, wo Raton ki judaa'i tak,
Mohobbat kho gayi sari Safar main tum ko Panay ki,
Qafas mai qaid kar lo is mohobbat ko rihae'ii tak.

صفر کے ابتدا سے انتہا کے انتہائی تک،
ملاقاتوں کی شاموں سے وہ راتوں کی جُدائی تک،
محبّت کھو گئی ساری صفر میں تم کو پانے کی،
قفس میں قید کر لو اس محبّت کو رہائی تک۔

-


18 DEC 2021 AT 1:21

December jab bhi aata hai! II

Kabhi jab shaam sadkun per,
Mai tanha sair karta hun,
Hawa thandi si chehre se,
Chipak kar mujh se kehti hai,
Kahan chalte ho Shamun mai?
Kahan se haar bethay ho?
Mai chup sar ko jhukaye yun,
Wahan se ghar nikalta hun,
Wo mujh ko rok leti hai,
Mujhey Anwar bulati hai,
Mera hathun ko thamay yun,
Wo meray paas aati hai,
Wo thandi si hawa mujhko,
Galay lag kar batati hai,
Tumhare saath chalti hun,
Mere kanun me kehti hai,

December jab bhi aata hai..

-


9 DEC 2021 AT 17:06

December 💥 I

December jab bhi aata hai,
Rulakar hum ko jaata hai,
Wo sari yaad bay matlab,
Meri neendain udaata hai,
Mujhey yun arsh pe le kar,
Humesha hi giraata hai,

December jab bhi aata hai,

Wo thanda chaand ratun ko,
Pareshan ho ke kehta hai,
Suno tum raat bhar mujh ko,
Ye nam ankhun se takte ho,
Batao kya samandar hai,
Jo tujh me chup sa betha hai,
Batao kyun pareshaan ho?
Batao kya satata hai?
Kya koi dard ubhra hai?
Ya koi rooth betha hai?
Kisi se lad kay aaye ho?
Kisi ney phir rulaya hai?

December jab bhi aata hai..

-


Fetching WhoXain Un Ver Quotes