Ishq ke saat maqam hain ae dil,
Har maqam pe ek naya sawaal hai,
Pehla maqam dilkashi kahani banti hai,
Nazar mile to zindagi rawani banti hai,
Uns pe aa ke dil narm ho jata hai,
Har khayal mein bas wohi nazar aata hai,
Mohabbat ki chadar oadh ke dil machalta hai,
Khawabon ki duniya mein jaise yeh palta hai,
Aqeedat ki deewarein mazboot ho jati hain,
Mohabbat ibadat ki soorat dikhati hain,
Ibadat ka lamha sukoon lata hai,
Par dil ka junoon inteha pe jata hai,
Aur junoon ke baad aakhri maqam hai,
Ishq ke safar ka ikhtitam hai,
Saatwan maqam maut ka hai,
Jahan rooh bhi bas mehboob ki baat ka hai,
Ishq woh aag hai, jo bujhti nahi,
Yeh maut mein ja ke bhi khatam nahi.-
हर क़िस्से को एक कहानी में ऊलझाता चला गया,
आधा अधुरा सच ही सही पर सबको बताता चला गया।
एक दीवार की उचायी पूछी गई मुझसे,
मैं पत्थर को ही गन्ने में वक्त गवाता चला गया।
जानता था कि हल्की हवाओं से ढेह जाएँगे यें,
फिर भी पत्तो से मैं अपना घर बनाता चला गया।
हर वो शख़्स जो है बेवफ़ा यहाँ,
उन्ही चेहरों से मैं वफ़ा निभाता चला गया।-
क़िस्मत की नाकामी को लिखता जाता हूँ,
मैं वो हूँ जो हर आसूँ में बिकता जाता हूँ।
हिज्र का स्वाद है तल्ख़ ये मालूम है मुझे,
मैं फिर भी हर दिन इसमें मिश्री डाल के चखता जाता हूँ।
तब तलब होती थी मिलने की बस एक चेहरे से,
अब हर ऐरे ग़ैरे से यूहीं मिलता जाता हूँ।-
Agar kabhi kisi Anjaan raaste mein, main dikh jaun tumhein.
To tum mujhse nazrein milaana pasand karogi?
Bolo na...??
Agar naa-chahte huye bhi, nazrein tumahri mujh pr padd jaye.
To tum mujhe pehchanogi ya nazarandaaz kr dogi?
Bolo na...??
Agar main tumahre taraf badhaa
To tum oosi raaste pr chalogi, ya fir raahein apni badal logi?
Bolo na...??
Agar main aakar tumse baat karne ki koshish karun,
To tum mere saare sawaalon ka jawab dena pasand karogi?
Bolo na...??
Agar mere udaas se chehre ko dekh, tumahra bhi dil bharr aaye,
To tum apne aansuon ko, mere kameez pr behne dogi kya?
Bolo na...??
Agar main apne ghutno mein baith, tumse apni saari galtiyon ki maafi maangunga.
To tum mujhe maaf kr, apne seene se lagaogi?
Bolo na...??
Agar bhul k apni saari puraani yaadein, main jo tumse apne ishq ka izhaar karungaa.
To tum muhpe bharosa kr, ek aakhiri maukaa dogi?
Bolo na...??-
सुकून-ए-जान पाने को तेरे दर पर आया हूँ,
सफ़र से थक कर मैं तेरे दर पर आया हूँ।
सितारे बुझ गये हैं मेरी रातों के फलक पर से,
तेरी लौ से रौशनी करने मैं तेरे दर पर आया हूँ।
मुसीबत कोई नहीं है बस साँसो का चलना है,
तू दे दे कोई तो इक हल मैं तेरे दर पर आया हूँ।
खिजाऊँ ने घेरा और उजड़ा यह गुलशन है,
की कुछ फूलों में रंग भरने मैं तेरे दर पर आया हूँ।
तूफ़ानों मैं तमतमाता हुआ एक दीपक हूँ,
तू रख ले अपनी ही पनाह में मैं तेरे दर पर आया हूँ।-
Tumse mulaaqaat dobara ho bhi jaaye,
Bus Ishq dobara nahi hona chahiye…
Din raat tumhari galiyon main bhatakta rahe,
Koi mujhsa aawara nahi hona chahiye…
Dua h ki abb jo bhi hume khayaal aaye,
Wo hargiz tumhara nahi hona chahiye…
Ek chehra ke alawa kuch dikhayi hee na de,
Koi itna bhi pyara nahi hona chahiye…-
Kamra mera andhera hee behtar hai,
Tum chiraag na jalao…
Duniya ke sath aage badh chuka hoon main,
Tum abb wapas na bulao…
Number delete kiye zamana ho gaya hai,
Naye number se call karke apni yaad na dilao…
Yoon toh bohot muskil tha tumhe dil se nikalna,
Tum ab ek ehsaan kro, k laut kar wapas na aao…-
Na mehtaab na noor hoon, na kisi aur ke falak ka tara hoon,
Main hur haal mein saara ka saara tumhara hoon.
Na aashiq hoon, na galliyon ka aawara hoon,
Main toh saara ka saara sirf tumhara hoon.
Tum dariya ho toh main kinara hoon, tum gir pade toh sahara hoon,
Main hur shart mein fakat tumhara hoon.
Main jeeta hoon baazi, ya fir thaka haara hoon,
Tumhare hur ishare pr main hur wakt tumhara hoon.
Main hoon shikandar, ya shayad dar-badar bhatakta banjara hoon,
Main hoon kamil, ya fir nakara hoon,
Main jaisa bhi hoon, hoon toh bus
saara ka saara tumhara hoon.-
Agar tum aaj mere sath hote,
Toh tumhe aaj mein behadh khubsurat badaal dikhata…
Dhalte hue suraj ki halki chamak dikhata…
Dheere dheere chalti in hawaon ko tere zulfon se khelte dikhata…
Aasmaan ko guzarte wakt ke sath rang badalte dikhata…
Din bhar jeene ki mashaqqat kr, sham ko ghar laut teh parindon ki thakawat dikhata….
Hamesha daurte bhagte kabhi na thakne wali is duniya ko,
Main oos lamhe mein thamm hote dikhata…
Yakeen mano jo aaj agar ye manzar dekhti na,
To zarur apna sir mere kaandhe rakh, kehti…..
Kya yeah sab waisa nahi jaisa main kehti thi….-
कि बहुत कोशिस की तुम क़रीब रहो,
पर शायद तुम्हें दूरियाँ पसंद है।
मैं रहना चाहता हूँ खुद से आज़ाद,
पर तुम्हें मेरी मजबूरियाँ पसंद है।
बहुत लड़ लिया तुमसे, जमाने से और खुद से,
अब मैं सब कुछ पीछे छोड़ रहा हूँ।
एक तन्हा अकेली ज़िंदगी के लिए,
मैं सारे रिसते तोड़ रहा हूँ।
न अब खुद से ख्वाहिश बची,
न अब तुम्हारी चाहत चाहत है।
न मौत से कोई कशिश,
न ही ज़िंदगी से ईबादत है।-