it's clear our group chat has been influenced by the month's concise calendar... 28 days, 28 msgs. Let's break this record... or at least, try to!"
-
Socha bazaar aaj sasta hai, chalo kuch kharid lete hain,
Kismet dekhiye, Hum khud ke jazbaat ko bech aaye!!-
Waqt ka dariya behta hi raha,
Hum bhi bahaw me behte hi rahe,
Log bas apni umrein ginte rahe,
Hum tajurbon ki ginti bhulte rahe,
Humko Azmaish se kabhi dar hi na tha,
Innama al usri yusra par hi hum kayam rahe,
Logon ki tana Kashi se dil mayus zaroor hua,
Mutmaeen the hum, to bas musqurate hi rahe,
Ye to bas khulasaa hai Aal- E- Wasi ki zindagi ka,
Mukammal dastaan ki log Gaur-O-Nikar karte hi rahe!!!
-
Alfaz saare kharch ho gaye aapki yaad bayan karte karte,
Chalo band kar doo ye kitab aakhri ashar likhte likhte...-
Jinko mustahik samjho unke akhlaq ko zaroor parkho,
K halat jab badalte hain to log aksar aziyat hi dete hain,
Sab jaan k anjaan banna ye mamul hai, Zara bachke raho,
Is daur-e-haya me madat nahi apne aankhen band kar dete hain,
Ummid-e-wafa rishton se rakhte ho? Janab kabhi na rakho,
Wasi ko khakam-ba-dahan kar log musqurate rehte hain!!!-
آج میں خوش بحی حون اور آنخےن نم بحی حےن،
کوچح پل دوستوں سے میلآ اور جودا بحی حوا۔۔۔-
Ummid barpa dhoondti hai unko jab meri aankhen,
Uff, har chehre me unka chehra nazar aata hai!!!
-