Wo suraatein illahi aab kis mulk ki bastiya’n heh |
Jinko dekhne k liye aab aankhein tarastiya’n heh ||
Aaya tha baatil mein jo, kiya kar chala jahan heh |
Ye maarg-o-ziist tujh bin aapas mein haanstiya’n heh ||
Ye sawan ka tou mausam kabka nikal geya magar |
Mizghan ki ye ghaataein aab tak barastiya’n heh ||
Ki letein heh chiin kar dil aashiqon ka pal mein dekho |
Khoobsurti aashiq ko karein pesh-dastiya’n heh ||
Usne kaha chupa de ye dukht-e-raaz ko majnoon |
Aab teri bhi kiya iss halat mein mastiyaa’n heh ||
Aur Qeemat-e-intezar 'tahiyat' dein chuka do’jag ko |
Aab “Fahisha”iss saude mein saaqi aur mai-pareshtiya’n heh||
-
I write what you can't speak.
Shower your blessings on 18th of Apr... read more
Shahar nagar mein fira banjara ghar ka rasta bhul geya,
Wo kiya tha mera mein koun tha uska apna paraya bhul geya |
Kaisi din thaay guzrein kaisi raatein ghati humein batana bhul geya,
Aab kiski baatein kahein aur kinki yaadein guzri ,wo apna sapna bhul geya ||
Yaadon ke pher mein dil paar aisi chot lagi ki kaisa tha chehra unka bhul geya ,
Dhundli chaaw yaad rahi magar pehle pyaar ka sapna bhul geya
Ki ek nazar ka noor mita ,jaab wo pal bita taab bhul geya ,
'Tahiyat' dukh mein sukh heh , sukh mein dukh heh bhed ye nyara bhul geya |||-
Ki haar jagah pyaar ka tamasha hai ,
Mere yaar ke didar ka tamasha hai |
Hiib aur zehen mein lagi hai shart ,
Fateh aur talaf ka tamasha hai ||
Aikanaat-e-intezar mein unn ki ,
Kiwar-o-jidar ka tamasha hai ||
Hai taaqub-e-ubka-e-ishq 'tahiyat' ,
Sahn-e-gulzar ka tamasha hai |||-
Ki ab ki baar nahin malum khum-khane pe kya guzra ,
Humarein astagfhar se gardis-e-paimane pe kya guzra |
Padri zarabta tha sar ko apne dair ke aage,
Khudah jaane tere surat se But-khane pe kya guzra ||
Koi khabar tak nehi mere baad tere seher pe kya guzri,
Aur pucha tuu ne bhi nehi 'Tahiyat' ki tere deewane pe kya guzra |||
-
Tere kamar paar jo chandi ki jalli heh ,
Meri nazrein v wahi ko gaath daali heh |
Baalon ko dekha heh maine teri jaab se,
Najane zulfon se dilon kou kyun be-qarari heh |
Yaha sabhi k seeno ko cheed dala heh ,
Tirchi nazrein teri tej katari heh ||
Aur aab isse qahr kahon ya lutf-o-tabasum ,
Teri aashiqi ka bojh "tahiyat" sakht bhari heh ||
-
Jisse ashiqi ka tiir kaari lge,
Ussae ekhlaq e zindagi kyun na bhaari lge |
Hoga naa jaag se ussae haargiz qaraar,
Jisse ishq ki ye be-qarari lge ||
Aur gar naa chode mohabaat tere dam-e-marg tak,
“Tahiyat” teri haar baat taab v pyaari lge |||-
Dekho tou jaan tum kou manane kou karta hain koun jatan |
Bolo ḳhuda ke vaste tumhare lab ko karta heh koun jatan ||
Rukhsar tera hai jaan ya hairan tou nhi ki koi chand |
Kyun rozana aur ḳhoob jhalakne kou karta hai shab jatan ||
Ye dast-e-salam sar ke upar naqsh-e-pa hai ab haar-chaand ḳhak-e-rah hua heh aab karein koi adab-e-jatan ||
Aur bandha hai sazar-e-shakim ka kyun sar pe sehra 'Tahiyat' aab 'aabru' ka byaah hai kar dukhtar-e-raz jatan |||
-
Ki afsurda hoon aur iisi masaib ka naam heh zindagi |
Majboor ya zimmedar, mein hoon
Yunhi baadnam heh ye zindagi ||
Aur ye mayushi,aansu,dukh,dard,rok rukawat
Saarein tou Zindagi k hisse heh,
Aur ye mayushi,aansu,dukh,dard,rok rukawat
Saarein tou Zindagi k hisse heh |
Aab sukoon de, Yaa tou mout ka intezam kar ye zindagi |||
-
Agar inn naino se naino ko milaoge to kya hoga,
Aankhon k nishaat se hum kou aise jalaoge to kya hoga |
Tumhare taakhir mein jan-ba-lab ik umra bitayi hai,
Agar yakh-lakht ko aa kar rukhh dikhaoge to kya hoga ||
Aur ye zamane ke log saare hashmat se ishq karte ‘tahiyat’,
Agar tum bhi aagosh mein iss qadar rahoge to kya hoga |||-
Tuu Apne hathon ki alshariyat mein tazyin kar mujh ko |
Mein baas mutamsik hoon tera tu apna taqdeer tou bana mujh ko ||
Aabse hilf heh tujhko ki gar kiya tu ne mujhko mere hawalein |
Tou Mein Maikhane par yabiet kar aunga khud ko ||
Aur aab yaruun ki baat aur hai 'tahiyat' aur rahoon ya na rahoon ||
Massla ye hai ki aaj tou koi aagosh mein lein mujh ko |||-