नाम गूम जाएगा
चेहरा ये बदल जाएगा
मेरी आवाज ही पहचान है
गर याद रहे-
Kash sarhadon PE bhi hone lage nach gaane aur kawwali
Us taraf tum Eid manate is taraf hum diwali-
Baat sorry par khatm ho sakti thi
Mamla takabbur ne bigad diya-
Barsaat me aise badal barasta rahega
Ane jane walon k liye na rasta rahega
Na tum aa sakoge na hum ja sakenge
Dil aise hi hamara tarasta rahega-
In laton se kaho ki zara had me rahein
Ki deedar e nazar me khalal padta hai-
Bas dekha use aur kho gyein
Hanste hanste jab ro gyein
Ye ishq tha ya nadaani meri
Bas chehra dekha uska aur
Us chehre ke hum ho gyein
Jo hamara na ho saka
Hum Usi ke ho gyein😌
-
रुपे का रुतबा इतना असरदार हो चुका है
की लोगों की जान भी अब करोबार हो चुका है-
Tere ishq me jab se mashgool huye
Hum shor o gul se door huye
Wo khidki par jab aati hai
Dil dhak se bas ruk jaati hai
Waqt be waqt gar aankhein khulti
Takiye se bas phone niklati
Ye aib hai ya koi rog hua
Uske khyal me har bhor hua
Chhodo ab in baaton ko
Jo beet gya un raaton ko
Ik arsa hua jab jeete thein
Hum thodi thodi peete thein
Ab To bas ye haal hai
Maykhane ka sawaal hai
Suna hai aise har dard bhulaye jaate hain
So hum bhi ab gaate hain-
Zamane ko kuch yun darkinar kar ke
Mere ishq me tujhko ko giraftar kar ke
Ik vaade par har aib chhodi hai humne
Humne Cigarette bhi todi hai jala kar ke-
Na khoon kahin na khanzar na talwar kahin
Wo qatl karti hai ba-kamaal karti hai-