Ghuroob ki kashish is qadr k bitaon ek shaam uske saath,
Doobta hua suraj bhi teherna chahe uske deedar ko.
Woh khil jaaye toh titliyon me ye khabar phail jaaye ;
Naya maikhana khula hai , le aaye apne dildaar ko.
Woh gul aisi k khud me hi chaman basaye hue hai,
Shahed k qafile bhi phir lautna chahe uske me'yaar ko.-
Khwahishaat hain barson talak
Kya pata akhri "kal", parson ho.
Zamanon ki fikar, zamanon talak intezaam
Kya pata, aaj hi shaam, ikhtetaam! Ikhtetaam!-
Duniya se anjaan, Main parle G sa nadan,
Tere ishq ki chai ke jaam ka armaan.
Mujhe dubaya us taazi deewangi me,
Kuch sukha sab bhigaya us shaistagi me.
Main doob ke, main toot ke,
Main zarre zarre me choor ke,
Teerte hue hua door uski nazron se,
Taakte intezar me milenge uske honton se.
Samadaan woh chai ki chuskiyan lene lage,
Ek ek ghoont per mujhse woh qareeb hone lage
Bilakhir meri baari aayi toh hont tham se gaye.
Haqeer nigahon se,
kachre k hawale hum reh gaye.-
Dear Republic India,
Dear secular India,
Dear democratic India,
Dear independent India.
Hope your vacation ends.-
Tere Noor se anjan hain ye HOOR-E-MAGHROOR ,
Abhi poshida hai zamane se
tere husn ka SUROOR ,
Gar ho rubaru koi tere ZUHOOR se ,
Hojaye makhmoor tere husn k FITOOR se .-
Rishtey, Raabtey,
raastey, vaastey,
Sab badal jate hain ,
aahistey aahistey ...
-
Tere bin yun mudddaten guzari,
Kyun phirse ye umeed bhar aayi ,
Jab padi nazar tujhper zamanon k baad,
Tamam tar kahani apni manzar pe aayi.-
Safar me mere mehek aaye
Angaar k sholon se,
Main chalta jao deewangi me
jannat k shouq se.-
Everytime I pass by a mirror,
It shows an image full of error.
Black spots on cardiac walls,
Grey thoughts on brain halls .
The frame got short to contain ,
The shame, dwelt,will sustain.
I stared in those eyes deep,
Two red pools, full of gravity
He says "I can't trust you!
You've got many debts due! "-
Mujhe hasne k liye ab,
Na hasane wale ki
zarurat hai,
Na hasta dekhne wali
ki.-