Waqar Wani  
335 Followers · 670 Following

Joined 25 July 2019


Joined 25 July 2019
18 AUG 2024 AT 21:07

Tu mere saamne hai baitha mera khaab to nahin
Nasheeli aankhun mai teri kahin sharaab to nahin

Mai ik nigaah bhi tujhe na dekh paata hun kabhi
Ye tera chehra hai naa koyi aaftaab to nahin

Ye itni shiddati se jo sata rahe ho tum mujhe
Tumhare dharm mai sataana bhi sawaab to nahin

Savera kyu nahin hua o saaqi dekh ke aavo naa
Mere sanam ke chehre pe kahin naqaab to nahin

Ye teri diary pe ginti kyun likhi hui hai jaan
Ye tere pichle aashiqun ka kuch hisaab to nahin

-


17 APR 2023 AT 11:13

Tell me your story and i will put that into a gazal and dedicate it to you.

-


16 APR 2023 AT 11:45

Dour e malamat se guzar raha hu me
Bewafai ki nizamat se guzar raha hun me

Tujhe rakhu k tujhe choru is bewafai k baad
Mere allah kis Qayamat se guzar raha hun me

Tumne to suna hoga gamzada aashiq ka hal
filhal us alamat se guzar raha hun me

Tukhko bheja tha rakeeb ki mehfil me khud
Din raat is nidamat se guzar raha hun me

-


16 APR 2023 AT 10:51

Umeedun se waqtan kinara krke
Mene dekha tha ishq dobara krke

Meri tabiyat me nhi he tijarat krna
Betha hun ishq me khasara krke

Tujhe sb maaf he magar shirk ki
Maafi nhi milti kafara krke

-


20 FEB 2022 AT 13:31

Kahani wahi rehti he Qirdar badalte rehte hen,
Loktantra ki basti me Sarkar badalte rehte hen.
Economy ke Langar me, kisaan ab bhi bhooka he
Sarkari Tijoori ke sardaar badalte rehte hen.

कहानी वही रहती है किरदार बदलते रहते हैं,
लोकतन्त्र की बस्ती के सरकार बदलते रहते हैं,
Economy k लंगर में, किसान अब भी भूखा है,
सरकारी तिजोरी के सरदार बदलते रहते हैं।

-Waqar wani

-


27 APR 2020 AT 13:28

The only thing that haunt me is the way things ended between us. There are many unsettled things, which will never be sort out. Many unasked questions which will never meet an answer.

-


27 APR 2020 AT 11:45

Its been 7 years since we fall apart. These years have proved my unconditional and unforgettable love for you. Although its very difficult to live with just memories but believe me its also the most beautiful experience i ever had.

-


5 MAR 2020 AT 10:22

Khuda kare k tu mujhe ab yaad na aaye
Kabhi khawab, kabhi tera khayal na aaye.

-


5 MAR 2020 AT 10:02

Tum zindagi se jb chali gayi
To mere khawabun se kyun nhi jati

-


29 FEB 2020 AT 0:10

Jung k Asaar hen, Ispaar bhi uspaar bhi ;
Halat nasazgar hen, Ispaar bhi uspaar bhi.

Jung se kisne kab, kitne ghar basaye hen;
Ujarte gharbar hen, Ispaar bhi uspaar bhi.

Jung kya he, mout he, fasad he, tabahi he;
Ujarte gharbaar hen, Ispaar bhi Uspaar bhi.

Kitne sar kate hen, phent(65) me ikhatar(71) me;
Kitne darkar hen, Ispaar bhi uspaar bhi.

Kyun peesna chate ho, sabko ek hi chakki me;
Haan kuch gunehgaar hen, Isppar bhi Uspaar bhi.

Hawa mat diye tum, ise khuda k waste;
Jalte lalazar hen, Ispaar bhi uspaar bhi.

Khoon k badle khoon, kaise Aqal-o-danish he;
Ye kaise zimedar hen, ispaar bhi uspaar bhi.

Jo jung par lagana he, Taraki par lagaye;
Kitne berozgar hen, ispaar bhi uspaar bhi.

Khaqi mera sawal he, Modi se Imran se ;
Log kyun bezar hen, Ispaar bhi uspaar bhi.

Credit goes to Poet - Niyamat Zargar (R/o Kastigarh, Doda)

-


Fetching Waqar Wani Quotes