Mere sapne mein kal raat tu aaaya..
Kya tere sapne mein bhi kal raat mai aaya?
Agar hum dono ek dusre ke sapne mein aaye..
To ye sapna mera tha ya tera tha?-
- Rang birange vahemo mein mai udta phiroon
- Magar meri dulhan to azadi hai
-... read more
Ek sapna aaya kal raat
Aur ek dum aankh khul gyi
Dil ne chaha ki likh lu isko
Phir socha subah likhunga..
Subha uthaa to maano koi sapna hi nahi aya peechli raat-
Jo baat Maine tumse kahi..vo baat Maine tum se nahi.. Khud se kahi hai..
Dil par mat lagana agar kuch buri lagi.. Kyu ki tum sirf ek aina ho mere alfazo ke liye.. Jo mere andar ki.. Uljhano se bane hai..
Jo sirf mere hai.. Aur mere liye hi hai..-
Mat dhundhna sab mein mujhko
Milunga kisi mein, na mai tujhe
Pareshaan to Tu bhi hai, mai jaanta hu
Jaate jaate peeche mud kar,
Tune bhi dekha tha mujhe
Shayad ek roz phir milenge
Jab humara waqt hoga
Chahe swapn mein hi sahi
Milan humara zaroor hoga
Mat dhundna sab mein mujhko
Milunga kisi mein, na mai tujhe-
Mera takiya naraz hai mujhse
Teri karvato se pareshan hu
Yun jo raat ko tere aksh girte hai mujh par
Mai so nhi paata hu
Agar koi na mile kuch batane ke liye
Mujhse baat kar lia kar
Mai sununga tera dard, dukh aur sab kuch jo duniya nhi karti
Par aise pareshan mat hua kar..
Mera takiya naraz hai mujhse-
Concrete mein zindagi kaati hai
Par bass ab nahi
Mujhe ab bass prakrati mein rehna hai
Taaro ke neeche sona hai
Ghas par chalna hai
Ped par ghar banana hai
Behti nadi mein sar dubona hai
Chand ko niharna hai
Suraj ko ugte aur dhalte dekhna hai
Badalo ki aakritiyon se mann prassan karna hai
Mujhe ab bass prakrati mein rehna hai
-
दरवाजे की खट खट से जागा तो देखा तुम थी वहाँ, जहाँ बरसौ पहले कोई आया था!
पूछ लिया हमने भी, यहाँ कैसे आना हुआ
कोई मुसीबत है, या मेरी यादे मुसीबत बन आयी है ?
तुम नीचे देख कर जो मुस्कुरा कर चली गयी वहाँ से!!
जाते जाते मुझे मेरा जवाब दे गयी, उस मुस्कान से!-
Ek roz likhunga kuch aisa duniya ke liye..
Padhenge sab
Par
Samajh sirf tum paogi..-