कुछ बातें सिर्फ बातें होती है,
न कोई अर्थ न कोई मकसद ,
कुछ बातें वर्षो तक रहती है
समय के साथ पकती पककर जीवन हो जाती है,
कुछ बातें छटती जाती है,
समय के अपरदन से घिसकर यादों से मिट जाती हैं
तुम, हम, बाकी सब किसमे कितना रह जायेंगे,
या की धुंधले पड़ जाएंगे, रुककर झाखकर देखेंगे
क्या बातें सचमुच बस बातें होती है।-
दोनेा बहुत देर तक ऑनलाइन थे
दोनो की वजह एक थी
इन्तजार था कि सामने से पहल हो
घण्टो गुजर गये न यहां से शुरूआत हुई न वहां से
दोनों चुपचाप एक दूसरे का चैट स्टेटस देखते रहे,
ऑनलाइन ऑनलाइन ऑनलाइन !
यूही एक दुसरे को ऑनलाईन देखते हुए कई शामें बीत गयी
फिर वही हुआ जिसका डर था, प्यार हार गया, जिदे जीत गयी।
एक खूबसूरत रिश्ते का टूटना टल जाता
अगर ऑनलाईन टाईपिंग में बदल जाता।
-
आज कुछ लिखने को जी नहीं करता
पर बिन लिखे ये मन नहीं भरता
तो उठा कलम यू ही कुछ कहते है
बिन विचार भावनाओं में बहते है
बहते बहते शायद इस दिल को किनारा मिल जाए
लफ्जो की इन गलियों में शायद एक काफिया खिल जाए-
kuch us pal se is pal tak ka
Aao kuch ikrar karte hai
Dil mein dabi mohabbat ka aao ishq e ijahar karte hai-
( For those who are waiting for valentine week)
Ishq farmate ho gulab dekar
Dil ka mizaaz batate ho gulaab dekar
Gulab hi dilo ke milne ka zariya banta hai
Pyar samajhne ka ye gulab hi to nazariya banta hai
Ahamiyat is sunder gulab ki
Na dikhe to bata dena bat
Hraday mein umadhte bhavo ke sailab ki
-
Likhne baitha tha mai uspe per kalam na chal pai
Uthi kitab padhe kuch panne jab samjha uski gaharai
Char akshar likhe uspe phir jake mai thahar gaya
Cute si smile dekh ke uski mera man bahal gaya
Uski batein positive kar jaye dukhi aatma khush ho jaye
Chasme wali wo ladki hai
Kisi se bhi na wo darti hai
Jalebi jaisi wo seedhi hai ladoo jaisi wo meethi hai
Kis bat mein wo khush hai kis bat pe naraj
Iska jawab koi de na paye janab
Eco ki hai wo genious
Padhai mein rahe hamesha serious
Personality hai wo misterious
Har mushkil se ye lad jaye
Khushi nam se jani jaye
Likh raha hu ye poem
Ye din hai bahut khash
Janam diwas hai in mahan hasti ka aaj
Khush rahe ye hamesha rahe ye aabad
We will meet soon in the class
-
Dil se dil tak ki unse koi baat nahi hoti
Aur main sochta hu hamari unse kyu mulakat nahi hoti
Unhe bat karna pasand magar jane kyu chatting ke lafzon me
Jane kya rakha hai in ganiz shabdon mein
Jisme feelings jaisi koi baat nahi hoti
Aur main sochta hu hamari unse kyu mulakat nahi hoti
Wo kahai hai pasand ho tum per tumse pyar nahi karti
Na jane kyu wo mujhpe aitbaar nahi karti
Baatein wo sari duniya jahan ki karati hai
Per jab aye bat hamari to na jane kis baat se darti hai
Bas isi baat ka gam hai ki unhe kabhi hamari parwaah nahi hoti
Aur main sochta hu hamari unse kyu mulakaat nahi hoti
-
Hindi ka sar ho tum
Mera iklauta pyar ho tum
Chemistry ka intresting chapter ho tum
Maths ke har number ka factor ho tum
Jise mai samajhna chahata tha wo important cheracter ho tum
Badi hifazat se sambhala jise us mahfuse dil ki chahat ho tum
Jjse ghanto mai dekha karta tha wo khoobsurat si adat ho tum
Chand ki chahat ho tum sukoon bhari rahat ho tum
Mere perfection ka reason ho tum
Bemausam barsat ka season ho tum
Mere khamoshi ki aadat ho tum
Mere kavitao ki likawat ho tum
Mere dil ki sajawat ho tum
Arts ki gahari banawat ho tum
Hindi ka saral sar ho tum
Mera pahla pyar ho tum
Meri mehnat ka puraskar ho tum
Mai jo pana chahu wo istiyar ho tum
Thumhari awaz sunkar hi mai chup ho jata hu
Mere dar ka adhar ho tum
Mera pahla pyar ho tum !
Mera pahla pyar ho tum !!
-
Ek aisa dost jo dost se badhkar hota hai
Uske sath thumhara ek alag connection hota hai
Kisi din usse baat karne ka man thumhara hua hi hai aur usi wakt uska phone a jaye
Aur ussey thumhe batein detail me batane ki jaroorat na pade
Kyuki understanding hi aisi hai pahle hi sab samajh jaye
Thumhe ghar ane me kabhi der ho gai aur phone thumhara lag hi nahi raha
Toh gharwale bhi sabse pahle usi se jake puchnege tum dono sath me ho to bat karna zara
Ek dusre ko pareshan karne se leke
Ek dusre ko gale lagane tak
Ek ajnabi ke saath seat share ki
Aur aaj best friends ban jane tak
Ek aisa dost jo thumhare saath har pal me shamil hota hai
Ek aisa dost jo aaj ki duniya mein milna bada mushkil hota hai
Ye sab sunte sunte thumhare man mein abhi jiska bhi khayal aya hai
Usey bata do ki mai khush kishmat hu
Jo tere jaisa yar paya hai-
Aaye the yaha anjan bankar
Gaye yaha se yad lekar
Jab dekha panne palatkar
Majedar tha yar wo college ka safar
Yad hai wo college ka pahla din
Khush bhi the ,sahame bhi the
Nahi pata tha is anjan si jagah
Hamare itni kareeb ho jayegi
Ki ise chodkar jana itna mushkil ho jayega
Yad ate hai wo din
Jab class bunk karke canteen mein baithana
Aur teacher ko roj kosana
Ek dusre ko chidhana per gussa hone par manana
Aur uska phat se man bhi jana
Aaj wo sab yad ata hai
Thodi khatti thodi methi surrounding hoti thi
Seniour aur juniour ki aisi bounding hoti thi
Pata nahi ye char sal kaise gujar gaye
waqt dhalta gaya aur ham sab hath malte rah gaye
Per ab to social distancing ka jamana hai
Ab alag alag rahana hi apna fasana hai
Na jane wo din kab lautkar ayege
June, july , august lagata hai sab lockdown mein hi beet jayege
Ab bas ek hi aash hai
Kash wo din phir laut aaye
Aur ham sab yar ek dusre me gum ho jaye-