Aksar ab bhi raaton ko neend humein ati nhi
Baichainiya kayi hai dil mein jinki koi shakl nhi
Bus ek ghup sanate ka shor hai jo kisi ko suna patein nhi
Kuch tutte sapno ki khurchane hai jiska bojh utha pate nhi
Lafz uljhnein lagte hai aksar jaban tak ate ate toh kehna bhi hum ab zaruri smjhte nhi
Yeh kis daur pe hai zindagi khusi aur ghum dono hi ab mehsus hoti nhi
Zinda hai bhi magar zinda nhi
Yeh na hi kisi ki mohobaat hi kami hai na aur humko bhi ab kisi se ashnayi nhi
Dil bht thakan se chur hai bus kisi ko dene ke liye waqt hi nhi
Ya yu kahu ke ab dil hi nhi
Bus is akelepan se ek dosti si ho gyi hai ke
Ab kisi ke hone ki umeed hi nhi
Andhera bhi ab sukoon deta hai logo ke shor sath ki tawako hi nhi
Ab akele ho kar bhi mein akeli nhi
Ab us dour-e-zindagi par hu
Jaha khud ka sath hi mukamal lgta hai,rishto se dar lgta hai kisi ka sath pana aur dena ab shyad mumkin nhi-
jitna tum mujhe janoge
utna hi mujhme
ulajhte chale jaoge.
“ Kabhi kabhi kisi ke haal puch lene par zinda sa mehsus karte hai warna roz ghadi ke suiyoh mein band bejan se halat lagte hai”
-
Jo mil kar bichad hi gye hai toh ab bichde hi rehne do
Umeed-e-vasl ki ab gunjaish nhi
Naye gharonde bunlene ke bad panchi kabhi mud kar ujde hue makan par laut te nhi
Woh jo kabhi humsafar tha ab musafir ho chla hai yakeen mano ab umeede-e-vasl jayaz bhi nhi-
Zara ruk kar thehar kar roo bhi lena acha hai
Bhagti si zindagi mein yun gir kar sambhal bhi lena acha hai
Din aur raat ke beech kisi machine sa ban kar chalta rha
Kabhi sans le kar jee bhi lena acha hai
Acha hai kabhi apne hi shehr mein kho jana aur kho kar khud ko hi dhundhna acha hai
Nam ankho muskura kar keh dena ke “sab tek hai“ par jo alfaz nhi awaz ki khanak se smjh jaye ke tumhein zarurat hai uski aur tham le hath keh kar ke “bilkul sab tek hi toh hai” aise shaks ka sath hona sach mein kitna acha hai-
Some scars are the living memento
that you endured the worst of pain and survived it.-
Woh bichda nhi mujhse toh kya vasl ki umeed rkhu haa maine khud ko katt kar alag kia hai usse kyu yahi zaruri tha
Ke kam se kam yaadein toh meethi rhe dono ke histe mein
Dard toh mustakil tha pehli hi mulaqat se yeh bhi zahir tha dono par hi-
When you find comfort in pain you know nothing can hurt you anymore and if it is ,you gonna live through it with ease
-
Never trust a man’s words those are all lies
But
Never doubt a what you see in a man’s eye all the truth which he has been hiding throughout lies there-
Ke ab toh bus kardo
Bus jaha ho wahi rho
Khauf itna kyu hai sabko tumhara
Ab kabhi toh sukoon se jine do-
Hum ab tak dur dur hai
Woh ek khirchan tutte rishte ki taumar ab chubhenge dono ko
Pass toh hai magar sath hona ab dono ko hi namanzoor hai-