Tum kehti thi ki mat suno kya ye dunia wale kehte
Hum alag jahan baneyenge is dunia se faasle mai
Ab ye mere haal-e-dil ki tujhe zimmedar kehte
Ye bekhabar mai zinda hu tere hi aasre se-
Tere pass aate hi tham sa jaata hu
Ab kaise samjhau tujhe kitna chahta hu
Lafzon mai bayaan toh kar na sakunga kabhi
Bas tujhe aane wali hichkiyon ke liye maafi chahta hu-
Shabdo mai bayaan krna mushkil hoga ki tujhe kitna chahta hu
Tujhe aane wali hichkiyon ke liye maafi chahta hu
Vaise toh qaabil nhi hu abhi itna
Par ek din tere sath ek alag duniya basaana chahta hu-
Mera mann usey pura jaanne ki zidd pe tika rehta hai
Mai usey chand kehta hu kyuki uska kuch hissa humesha duniya se chhipa rehta hai-
Na jaane tere kitne hi mijaz hai
Jitne hai sabhi mere pasandida hai
Tu sab jaan kar mujhse anjaan banti hai
Shayad isliye hi tujh par hum fida hai-
Aj chand mai kuch alag sa hi noor hai
Aj mujhme bhi thoda zyada sa guroor hai
Shayad sirf tera mujhse mil jane se
Puri dunia pe chadha ye ishq ka fitoor hai-
Teri khoj mai dar dar main bhatakta hu
Har kisi se tera pata puchta firta hu
Na milne par jab haar maan main baithta hu
Khud mai hi kahi tujhko main paata hu-
Teri yaari ki jitni taarif karu kam hai
Dukh mera aur aankhe ho jati teri nam hai
Naa chahte hue bhi tumhare itne kareeeb aa gye
Par tumse ishq na farma paye bas itna gam hai-
Ye kaisa rishta hai tere sath
Na hoti hai ab tujhse baat
Par fir bhi agar tera zikr hota kahi
Aaj bhi yaad aa jati hai voh pehli mulakaat-