Vipin Kumar  
468 Followers · 2 Following

॰Computer Science Engineer ॰Photographer ॰Writer ॰Music ॰Film Buff
Joined 13 April 2020


॰Computer Science Engineer ॰Photographer ॰Writer ॰Music ॰Film Buff
Joined 13 April 2020
10 APR 2022 AT 23:15

Kuch toh qudarat ne bhi unka husn katil kar diya, ek toh gora rang uss par til bhi shamil kar diya.

Hasi ne unki pehle hi khamosh kar diya, upar se aankhon ne bhi kya hi kamal kar diya.

Suit main unhe dekh dil ne bawal kar diya, phir jhumke aur bindi ne sara kam tamam kar diya.

-


20 MAR 2022 AT 23:33

Kitne Khushaqismat honge woh log jo usko dilpasand
aate honge

Bachpan main uske sath mohalle bhar main uchalte
khilakhilate honge

Madarasse se ghar uske sath ungali pakad kar jate aur bad main ghar ke chakar
lagte honge

Shamon ko uske sath chai pe waqat guzara
karte honge

Dekhte hoge usko itne kareeb se kitne khudko khas
mante honge

Kuch toh zikar karo uske haste hue bat karne ke tarz ka woh jo sunte dekhte honge woh toh mar hi
jate honge


-


18 MAY 2021 AT 2:40

Dilli main shor ab thoda kum sa hota hain, tere jhumke ki aawaz ab pura sheher sunn raha hota hain.

Bambai main barish ka maza ab rukha sa hota hain, tere dupatte ke aagosh main ab pura sheher duba hota hain.

Jaipur main gulabi rang ab fika sa malum hota hain, tere bindi ke rubab main ab pura shehar rangeen hota hain.

Hyderabad main biryani ka chaska ab daur hota hain, tere payal ke shor main ab pura shehar madhosh hota hain.

Calcutta main tyohar ka asar ab batuni hota hain, tere kangan ki chamak se ab pura shehar jagmagaya hota hain.

-


17 MAY 2021 AT 23:03

Nisbat ki mutawatar aazmaish se nuqs nikal hi aate hain, darmiyan chahe kitna bhi ishq ho talluq chhut hi jate hain.

Samjhane wali baaton ko hum samjhate nazar aate hain, aksar log isi farak main phase reh hi jate hain.

Khudagarzi ka ayyam apni mohabbat se masmaar aate hain, muskurahaton ke shabab main gham ghul hi jate hain.

-


16 MAY 2021 AT 1:36

Zara aahista hasa karo tumhe dekh dil mera har sa jata hain, roya na karo tum aise chotti baton par dil mera wahi ruswa sa jata hain.

Batein kitni behisab karti ho tum dil tum par atak sa jata hain, masumiyat se jo tum sawal karti ho lamha wahi ruk sa jata hain.

Gusse main bhi bachpana tumhara saaf dikh sa jata hain, cheese chupane ki nakamiyan jo tum se hoti wahi bha sa jata hain.

-


15 MAY 2021 AT 2:13

Jo main batla raha tha woh kahani thi meri, tumne ansuna kar tamasha bana diya.

Phir dobara koshish bhi naa ho meri, tumne jis kadar mujhe mehsoos kara diya.

Bahut himmat lagi baya karne main meri, tumne phir ek dafa purana kissa dohra diya.

Kismat main darmiyan khamoshi hi hogi meri, tumne jo in halaton main sikhaya diya.

-


13 MAY 2021 AT 21:59

Ishq har kisi dusre se hone ya hone ki ummeed rakhna kitna aasan hain.
Iss badalti duniya main ek ussi pe har roz marna bhala khak aasan hain.

Pata nahi ab hum jaise fasane milenge kaha iss matlabi duniya main.
Pyaar ab bhi jo chitthiyon main baya kare aise log gumashuda hain iss duniya main.

Ab thoda kam bola karenge apne bare main tumse shayad phir thoda sukoon milen.
Afsane jo anjaam tak na pahunche allah kare ab woh sare khak main ja milen.

-


15 APR 2021 AT 4:49

Awam-Al-Naas Ne Afsane Ka Ameen Bhi Iss Qadar Chinna Hain, Shehar Nahi Milte Iss Marori Ka Rona Hain.

Sat Samundar Paar Wala Ishq Ab Tahrir Main Gum Sa Hain, Ab Toh Nazdikiyan Bhi Itni Hain Phir Bhi Shehar Aag Hone Ka Mudda Aam Sa Hain.

Mirza Sahiban Bhi Ab Mohabbat Pe Qehqa Lagate Jate Hain, Kitna Badal Gaya Yeh Aashiqui Ka Daur Bass Yahi Sochte Jate Hain.

Kabhi Toh Jaipur Jamshedpur Se Aur Delhi Dhanbad Se Mile Iski Aas Karte Hain, Hum Bhi Tabtak Apni Hi Uljhanon Main Khudko Masroof Rakhte Hain.

-


3 APR 2021 AT 18:43

Shehar Aaye The Tere Ki Haal-E-Dil-E-Shaidaa Zahir Karenge. Lateefay Laye The Sath Ki Tujhe Musarrat Ka Izhaar Karenge.

Rok Liya Humne Khudko Tardeed Ke Khauf Se Ki Ishq Kisi Aur Din Baya Karenge. Quwwat E Amal Ek Hi Hain Humare Pass Tumhe Bina Dekhe Guzara Kaise Karenge.

-


25 APR 2020 AT 10:27

Kabhi Kaha Nahi Usse, Laga Pata Hoga!!!

-


Fetching Vipin Kumar Quotes