Vinita Singh   (Vinita Singh)
16 Followers · 7 Following

read more
Joined 3 May 2021


read more
Joined 3 May 2021
5 JUL 2021 AT 20:11

Abhi abhi to jeene ki chah uthi thi,
Aur jaane ka paigaam aa gaya..

Abhi abhi to apno ke paas hone ka Ahsaas Hua tha...
Aur unse dur hone ka khayal aa gaya...

Abhi abhi to do pal mile the udhaar ke,
Aur waqt k thamne ka aagaz ho chala...

-


2 JUL 2021 AT 12:20

Ha agar tu hoti,
To manjar kuchh aur hota...
Main main hota,
Aur mere sakt darakht pe bhi
Phool hote...

-


29 JUN 2021 AT 13:33

Tu jaihan mein,
kuchh yuin basi...
Main to chal basa,
par teri joostaju rhi...
Meri rooh aaj bhi us,
majar se laut aati hai..
Jahan teri bawafayi ki,
boo aati hai...

-


28 JUN 2021 AT 17:51

Berang jindagi ko ,
maine yun Bayan kiya...
Jaise Kali syahi ko,
kore Kagaj pe Udel diya...
Tu phikra naa kar ,
apane dard-e-dil ka jikra to kiya..
Par tujhpe iljaam naa diya...

-


26 JUN 2021 AT 11:45

Khayalon ki baatein karte ho ,
khayalon mein hi hote ho,
Aur bure khayal se hi darte ho...

-


25 JUN 2021 AT 16:17

Fly High With Eagles...

-


25 JUN 2021 AT 15:10

Udasiyoin ke samandar se lipta hua,
Gam ke syahi ko kore kagaj pe
Jab kabhi bhi udela hu...
Teri ashk najar aati hai...

-


13 JUN 2021 AT 22:36

Avipank ki Galion se hoke,
Maya ki nagari mein pahoche.
Ati vyatha ke sang  ,
harsh ke umeed mein,
Maya nagari ko pahoche.
Toote  kitne khvaab ke sang,
Pure hone ke khwayish mein,
Swapn ki navka mein chadh kar,
Sapano ki nagari mein pahoche.

Manmohak  nagari ki saundarta ,
Kalpana se bhi badh kar.
Ab kya karu khud ke,mukh  se vivaran.
Din bita saal bita,
Apne aur apno ka pyar bita.
Jab paav thak pade,
khvaayish bhi dhudhle pade.

Tootein sapano k sath,
Baitha tha vedana ke sath.
Socha chaltein hai ,
Bahot hua maya nagari ka bhraman.
chand ki chandani ke bagair,
Jagmaga rha aakanchhav ka nagar.
Bhrahm ka nagar,Mohak jaal bichha rha,
Asmanjas mein phas kar,
Bas raih gaya maya nagari ka ho kar.

- VINITA SINGH

-


6 JUN 2021 AT 20:14

Ghar ko laut aata hoon

Har roj subah ki kiran ke sath,
Aaj phir kuchh kar gujarne ki khwahish mein...
Main roj nikal padta hoon...
Khud ke khud se Jang mein..
Main roj nayi asha ke sath..
phir se nikal parta hoon..
Nirasha bhare dil mein,
Aakhon mein samunder bhar,
Main roj Ghar ko laut aata hoon..
Hridaye  mein  thakan bhar,
Main umeed ke diye ko roj bujhata hoon,
Aur badaltein karwatoin ke sath
Raat bitata hoon.
Phir pratah ugatein suraj ke sath,
Umeed ka diya phir se jalata hoon..
Aur roj thaka suraj ke sath,
Main ghar ko laut aata hoon...
Chal rha ye silsila najane kabse..
Main phir bhi kismat aajmane ko,
roj nikal jata hoon
Aur suraj ke bujhne ke baad..
Main ghar ko laut aata hoon.

-


4 JUN 2021 AT 22:31

Wo kahtein hai ,
waqt nhi hai Mere paas ...
Shayad main  bewaqt  dastak deti hu...
Wo kahtein hai masruf hoon jara,
Aur main subah se shaam kar deti hoon...
Kya karein waqt nhi hai unke Paas...

Main raaton mein taarein nihara karti hoon...
Aur subah shaam khud se guftagu kiya karti hoon.....
Kya kare waqt nhi hai unke paas...

-


Fetching Vinita Singh Quotes